ayyoob 6:1-30

  • ayyoob ka javab (1-30)

    • kaha, aavaz uthana galat nahin (2-6)

    • use dilasa denevale dagabaz (15-18)

    • “khari baat kabhi nahin akharti!” (25)

6  tab ayyoob ne kaha,   “kaash! meri peeda+ ko taula jaata,museebaton ke saath use tarazoo mein rakha jaata,   tab woh samundar ki ret se bhi bhaari hoti. isliye mere munh se besir-pair ki baatein nikli hain.+   sarvashaktiman ne zahreele teeron se mujhe chhalni kar diya hai,unka zehar meri rag-rag mein fail raha hai.parmeshvar ka kehar morcha baandhe mere saamne khada hai.   agar jangli gadhe+ ko ghaas mile, to woh reinkega kyon?bail ke aage chaara ho, to woh rambhayega kyon?   kya beswad khaana, bina namak ke gale se neeche utarta hai?bhala gulkher paudhe ke ras mein koi swad hota hai?   aisi cheezon ko main haath tak nahin lagana chahta, ye* mere liye sade huye khaane jaisi hain!   kaash! meri dua sun li jaaye,parmeshvar meri aarzoo poori kar de,   mujhe masal de, apna haath badhakar mujhe khatm kar de.+ 10  mujhe iska koi gam nahin hoga,dardnak haal mein bhi hanskar maut ko gale laga loonga.kyonki mainne pavitra parmeshvar+ ki baaton ko kabhi ansuna nahin kiya. 11  mujhmein ab aur intazar karne ki himmat nahin.+ jeene ke liye jab kuch raha hi nahin, to jeekar kya karoon? 12  main chattan jaisa mazboot nahin, na mera shareer tambe ka bana hai! 13  dekho kya haal ho gaya hai mera,main khud ki madad nahin kar sakta,mera har sahara chhin gaya hai. 14  jo apne saathi ka vafadar na rahe,*+usmein sarvashaktiman ka dar kahaan!+ 15  mere bhaai sardiyon mein behnevali nadi ki tarah dagabaz hain,+jo zaroorat ki ghadi mein sookh jaati hai. 16  pighaltee barf se woh matmaili ho jaati hai,chhipi him ke galne se umad padti hai, 17  magar tapti garmi mein woh sookh jaati hai, khatm ho jaati hai,chilchilati dhoop mein woh apna dam tod deti hai. 18  woh behte-behte registan mein aati haiaur gaayab ho jaati hai. 19  tema+ se aanevale kaarvaan uski raah takte hain,sheeba+ se aaye musafir* uske intazar mein rehte hain. 20  us par bharosa karke woh sharminda hote hain,unke haath sirf nirasha lagti hai. 21  usi tarah tum bhi meri museebatein dekhkar dar gaye,tumne mujhse kinara kar liya.+ 22  kya mainne tumse kuch maanga? kya mainne kaha, apni daulat se meri madad karo? 23  kya mainne kaha, mujhe dushmanon ke haath se bacha lo?zalimon ke changul se chhuda lo? 24  batao mainne kya kiya hai? main chupchap tumhari sunoonga.+mujhe samjhao ki mujhse kahaan bhool hui! 25  khari baat kabhi nahin akharti!+ magar tum kya sochkar mujhe daant rahe ho?+ 26  kya tum meri baaton mein nuks nikaalna chahte ho?dukhi insan bahot kuch keh jaata hai,+ magar hava un baaton ko uda le jaati hai. 27  tumhara bas chale to tum ek anath par bhi chitthi daal do,+apne dost ka sauda karne se bhi peechhe na hato!+ 28  ab zara mudkar meri taraf dekho,kyonki main tumse jhooth nahin boloonga. 29  main binti karta hoon, ek baar fir socho,mujh par dosh mat lagao,main parmeshvar ki nazar mein ab bhi nek hoon. 30  kya main kuch galat keh raha hoon? kya mujhe nahin pata mujh par kya beet rahi hai?

kai footnote

shaayad ayyoob ki takaleefon ki ya uske saathiyon ki di salah ki baat ki gayi hai.
ya “se atal pyar na kare.”
ya “sabai logon ke kaafile.”