ayyoob 7:1-21
7 kya nashvar insan ki zindagi kisi gulami se kam hai?kya uske din, dihadi ke mazdooron jaise nahin?+
2 gulam ki tarah woh chhaanv ke liye tarasta hai,mazdooron ki tarah apni mazdoori paane ka intazar karta hai.+
3 tabhi mere hisse mein klesh se bhare maheene jod diye gaye hainaur mere liye dukh-bhari raatein thehrayi gayi hain.+
4 jab main letta hoon to sochta hoon, ‘na jaane subah kab hogi!’+
par raat hai ki katti nahin, bhor tak main karavtein badalta rehta hoon.
5 mere poore shareer mein keede pad chuke hain,jagah-jagah mitti ke londe ban gaye hain,+fodon ki papdi fat gayi hai aur mavad bahe jaa raha hai.+
6 mere din julahe ke karghe se bhi tez daud rahe hain,+woh bin aasha ke yoon hi khatm ho jaayenge.+
7 hey parmeshvar dhyan de, meri zindagi pal-bhar ki hai,*+meri aankhein khushiyon* ke liye taras jaayengi.
8 jo aankhein mujhe dekhti hain, woh fir mujhe na dekheingi.teri nazrein mujhe dhoondheingi, magar main na miloonga.+
9 jaise baadal chhantkar gaayab ho jaata hai,kabraa mein jaanevala bhi vaapas nahin aata.+
10 woh fir kabhi apne ghar nahin lautta,uska apna ghar use begana samajhta hai.+
11 isliye main chup nahin rahoonga,
mere andar jitna dard chhipa hai, use undel doonga,apni kadvahat ugal doonga.+
12 kya main saagar hoon? ya koi bada samudri jeev hoon,jo toone mujh par pehra bithaya hai?
13 jab main sochta hoon, ‘mera bistar mujhe aaram pahunchayega,mera palang mere gam ko halka karega,’
14 tab tu mujhe sapne dikhakar ghabra deta hai,darshan dikhakar mere hosh uda deta hai.
15 kaash! mera dam ghut jaaye,jeene se achha hai ki mujhe maut aa jaaye.+
16 nafrat ho gayi hai zindagi se,+ main aur jeena nahin chahta.
mujhe akela chhod do, meri zindagi pal-bhar ki hai.*+
17 nashvar insan kaun hai jo tu uski parvah kare?uski kya aukat ki tu us par dhyan de?*+
18 tu kyon har subah us par nazar rakhta hai?aur kadam-kadam par use parakhta hai?+
19 tu kab tak mujh par taktaki lagaye rahega?kya itni bhi mohlat na dega ki main thook nigal sakoon?+
20 insan par nazar rakhnevale!+ agar mainne paap kiya hai, to isse tera kya nuksan hua hai?
toone kyon mujhe apna nishana banaya hai?
kya main tujh par bojh ban gaya hoon?
21 mere apradhon ko maaf kyon nahin kar deta?mere gunahon ko bhula kyon nahin deta?
jald hi main mitti mein mil jaaunga,+tab dhoondhne par bhi tujhe na miloonga.”
kai footnote
^ ya “hava hai.”
^ shaa., “kuch achha dekhne.”
^ shaa., “bas ek saans hai.”
^ shaa., “par man lagaye?”