ayyoob 8:1-22

  • bildad ka pehala bhaashaan (1-22)

    • ishara kiya ki ayyoob ke beton ne paap kiya tha (4)

    • ‘agar tera man saaf hai, to parmeshvar teri raksha karega’ (6)

    • ishara kiya ki ayyoob bhaktiheen hai (13)

8  tab shoohi bildad+ ne bolna shuroo kiya,   “tu kab tak aisi baatein karta rahega?+ teri baatein ekdam khokhli hain.*   kya parmeshvar nyay ka khoon karega?kya sarvashaktiman, jo sahi hai woh na karega?   ho sakta hai tere beton ne uske khilaf paap kiya ho,tabhi to usne unhein apne kiye ki saza bhugatne di.   lekin agar tu parmeshvar ko dhoondhe,+sarvashaktiman se daya ki bheekh maange,   agar tera man saaf hai, tu seedha-sachcha hai,+to woh tujh par dhyan dega,*teri jagah tujhe vaapas lauta dega.   bhale hi aaj tera yah haal hai,magar tera aanevala kal sunhara hoga.+   zara purani peedhi ke logon se poochh,unke purkhon ne jo baatein maaloom kin, un par dhyan de.+   kal ke paida huye hum kya jaante hain,hamari zindagi bhi chhaaya ki tarah guzar jaayegi. 10  kya woh log tujhe nahin sikhayenge,jo baatein woh jaante hain kya tujhe nahin batayenge?* 11  kya bina daldal ke sarkanda badh sakta hai? kya bagair paani ke narkat badh sakta hai? 12  chahe usmein fool aa rahe hon, chahe use ukhaada na gaya ho,lekin woh baaki paudhon se pehale murjha jaayega. 13  parmeshvar ko bhoolnevale ka bhi yahi haal hota hai,bhaktiheen ki aasha mit jaati hai. 14  jin cheezon par use bharosa hai woh khokhli nikaalti hain,makdi ke kachche jaal ki tarah, 15  jitna sahara lene ki koshish karo, woh tootta jaata hai,use thaame rehne par woh taar-taar ho jaata hai. 16  woh insan us hare-bhare paudhe ke samaan hai jise achhi dhoop milti hai,jiski shaakhayen bageeche mein failti jaati hain,+ 17  jo pattharon ke beech apni jadein failata haiaur vahin apne liye ghar dhoondhta hai.* 18  lekin jab use apni jagah se ukhaad diya jaata hai,to sinchnevali mitti bhi use pehchanne se inkar kar deti hai.+ 19  is tarah woh khatm ho jaata hai*+aur uski jagah doosre paudhe ugne lagte hain. 20  dekh, parmeshvar unhein nahin thukrata, jo nirdosh bane rehte hainaur na hi woh bure logon ka haath thaamta hai. 21  isliye woh tere chehre par fir se hansi le aayegaaur tere honthon par jayjaykar. 22  tujhse nafrat karnevale sharminda kiye jaayengeaur dushton ka dera khaak mein mila diya jaayega.”

kai footnote

ya “tez aandhi ki tarah hain.”
ya “tere liye kadam uthayega.”
shaa., “kya woh apne man se baat na nikaaleinge?”
ya “pattharon ka ghar dekhta hai.”
ya “uski raah mit jaati hai.”