ayyoob 9:1-35

  • ayyoob ka javab (1-35)

    • adna insan parmeshvar se nahin lad sakta (2-4)

    • ‘parmeshvar ke kaam samajh se pare’ (10)

    • usse koi behas nahin kar sakta (32)

9  ayyoob ne javab diya,   “main achhi tarah jaanta hoon, parmeshvar anyayi nahin, to bhala adna insan uske saamne kaise sahi thahar sakta hai?+   agar koi parmeshvar se behas karna chahe,*+to uske hazar savalon mein se ek ka bhi javab nahin de paayega.   parmeshvar buddhiman* aur bahot shaktishali hai.+ aisa kaun hai jo uske khilaf jaakaar sahi-salamat bach jaaye?+   woh pahadon ko sarkata* hai aur kisi ko pata bhi nahin chalta,apne krodh mein unhein ulat-pulat deta hai.   woh prithvi ko uski jagah se hila deta hai,uske khambhe thar-thar kaanp uthte hain.+   woh sooraj ko hukm deta hai aur woh bujh jaata hai,taaron ko band kar deta hai ki woh na chamkein.+   apne haathon se aasman ki chaadar failata hai,+samundar ki unchi-unchi lehron+ par dag bharta hai.   usne ash,* kesil* aur kima naam taaramandal* banaye,+dakshini taaramandal bhi usi ki kaareegari hai. 10  woh aise mahan kaam karta hai, jo hamari samajh se pare hain,+uske laajavab kaamon ki koi ginti nahin.+ 11  woh mere paas se guzar jaata hai aur main use dekh nahin paata,mere saamne se nikaal jaata hai aur main use pehchan nahin paata. 12  agar woh kuch lena chahe, to kaun use rok sakta hai? kaun usse keh sakta hai, ‘yah tu kya kar raha hai?’+ 13  parmeshvar apne krodh ko nahin rokega,+raahab*+ ke madadgaron ko bhi uske saamne jhukna padega. 14  agar aisa hai to jab mujhe use javab dena hoga,daleelein pesh karni hongi, to soch-samajhkar bolna hoga. 15  chahe main sahi bhi kyon na hoon, tab bhi use palatkar javab na doonga.+ main apne nyayi* ke aage sirf daya ki bheekh maang sakta hoon. 16  lekin agar main use pukaroon to kya woh mujhe javab dega? mujhe nahin lagta woh meri sunega bhi. 17  woh to museebaton ka toofan laakaar mujhe tod daalta hai,bina kuch kahe-sune zakhm-par-zakhm deta hai.+ 18  woh mujhe saans bhi nahin lene deta,pal-pal mujh par takaleefein laata hai. 19  agar saval taakat ka hai, to uske jaisa shaktishali koi nahin,+ agar saval nyay ka hai, to woh khud kehta hai, ‘kaun mujhse javab-talab kar* sakta hai?’ 20  chahe main sahi bhi hoon, tab bhi meri baatein mujhe gunahgar thehraayengi,chahe main nirdosh bana rahoon, to bhi woh mujhe doshi* thehrayega. 21  ab to mujhe bhi shak hone laga hai ki main nirdosh hoon ya nahin,laanat hai aisi zindagi par! 22  baat to ek hi hai. isliye main kehta hoon,‘woh dusht aur nirdosh donon ka naash kar deta hai.’ 23  jab koi sailab achanak kai zindagiyaan baha le jaata hai,tab woh maansoomon ki bebasi par hansta hai. 24  dharti dusht ke haath mein kar di gayi hai,+usne insaf karnevalon ki aankhon par patti baandh di hai. agar yah usne nahin kiya, to fir kisne kiya? 25  mere din khabar pahunchnevale se bhi tez bhaag rahe hain,+aisa ek bhi din nahin jab mainne khushi dekhi ho. 26  woh aise ud jaate hain maano narkat ki naav hava se baatein kar rahi ho,haan, usi furti se, jis furti se ukab apne shikar par jhapatta hai. 27  agar main kahoon, ‘main apna gam bhula doonga,chehre ki udasi mitakar khush rahoonga,’ 28  to bhi apne dukhon ki vajah se mujhe dar satayega+aur main jaanta hoon tab bhi tu mujhe bekasoor na maanega. 29  jab mujhe doshi* hi thehraya jaana hai, to khud ko nirdosh saabit karne ki koshish kyon karoon?+ 30  agar main pighaltee barf ke saaf paani se naha loon,sajji* se apne haath dho loon,+ 31  tab bhi tu mujhe keechad se bhare gaddhe mein daal degaaur mere kapde tak mujhse ghin kareinge. 32  parmeshvar koi insan nahin, jisse main behasbazee karoonaur jise kachahri mein ghaseetkar le jaaun.+ 33  aisa koi nahin* jo hamara maamla suljha sake,nyayi bankar hamein faisla suna sake.* 34  kaash! parmeshvar mujhe apni chhadi se maarna band kar de,mujhe darana chhod de,+ 35  tab main bina dare usse baat kar sakoonga,varna yoon darte-kaanpte mere munh se kuch nahin niklega.

kai footnote

ya “ko kachahri le jaana chahe.”
shaa., “dil mein buddhiman.”
shaa., “hatata.”
shaayad saptarishi taaramandal. saat taaron ka mandal.
shaayad mrigshira taaramandal.
shaayad vrish taaramandal mein taaron ka samooh, krittika.
shaayad ek bada samudri jeev.
ya shaayad, “muddai.”
shaa., “mujhe adalat ka bulva de.”
shaa., “tedha.”
shaa., “dusht.”
ek tarah ka saabun.
ya “koi bichvai nahin.”
shaa., “jo hum donon par apna haath rakh sake.”