bhajan 10:1-18
ל [laamedh ]
10 hey yahova, tu kyon door khada rehta hai?
museebat ki ghadi mein kyon chhip jaata hai?+
2 dusht magroor hokar besahare ka peechha karta hai,+magar woh apni hi saazishon mein fans jaayega.+
3 kyonki dusht apni buri ichhaon par ding maarta hai,+laalchi ko aasheervad deta hai.*נ [noon ]woh yahova ka anadar karta hai.
4 dusht apni hekdi ki vajah se parmeshvar ki khoj nahin karta,woh man mein yahi kehta hai, “koi parmeshvar nahin.”+
5 dusht apni raah par falta-foolta hai,+magar tere faisle uski samajh se pare hain,+woh apne sabhi bairiyon ko tuchh jaanta hai.
6 woh man mein kehta hai, “main kabhi hilaya nahin jaa sakta,*main peedhi-dar-peedhi kabhi museebat ka munh nahin dekhoonga.”+
פ [pe ]
7 uska munh shaap, jhooth aur dhamkiyon se bhara rehta hai,+uski zaban fasad khadi karti aur chot pahunchati hai.+
8 woh bastiyon ke paas ghaat lagaye baithta hai,chhipkar begunah par hamla karta hai aur use maar daalta hai.+
ע [aiyin ]
uski aankhein laachar ko dhoondhti hain taaki uska shikar kare.+
9 woh maand* mein chhipe sher ki tarah intazar karta hai+taaki mauka milte hi kisi besahare ko dhar-daboche.
woh besahare ko jaal mein fansakar dhar-dabochta hai.+
10 shikar kuchal diya jaata hai, neeche gira diya jaata hai,kai bechare uske shikanje* mein fans jaate hain.
11 dusht man mein kehta hai, “parmeshvar bhool gaya hai.+
usne apna munh fer liya hai.
woh kabhi dhyan nahin deta.”+
ק [kof ]
12 hey yahova, uth!+ hey parmeshvar, apna haath utha!+
besaharon ko na bhool.+
13 aakhir dusht kyon parmeshvar ka anadar karta hai?
woh man mein kehta hai, “parmeshvar mujhse lekha nahin lega.”
ר [resh ]
14 magar tu beshak takaleefein aur museebatein dekhta hai.
tu dhyan deta hai aur maamle apne haath mein leta hai.+
laachar log teri or taakte hain,+anathon* ka tu hi madadgar hai.+
ש [sheen ]
15 dusht aur bure aadmi ka haath tod de,+uski dushtata ka naamo-nishan mita de.
16 yahova yug-yug ka raja hai.+
raashtra dharti se mit gaye hain.+
ת [taav ]
17 magar hey yahova, tu deenon ki binti sunega.+
unke dilon ko mazboot karega,+ un par poora dhyan dega.+
18 tu anathon aur kuchle huon ko nyay dilayega+taaki dharti ka nashvar insan fir kabhi unhein na daraye.+
kai footnote
^ ya shaayad, “laalchi khud ko aasheervad deta hai.”
^ ya “main dagmaga (ya ladkhada) nahin sakta.”
^ ya “ghani jhaadiyon.”
^ ya “mazboot panjon.”
^ ya “jinke pita ki maut ho gayi hai.”