bhajan 116:1-19

  • kadardani ka geet

    • ‘yahova ki bhalai ka badla main kaise chukaunga?’ (12)

    • “main uddhaar ka pyala peeunga” (13)

    • ‘yahova se maani mannatein poori karoonga’ (14, 18)

    • vafadar janon ki maut anmol hai (15)

116  main yahova se pyar karta hoon,kyonki woh meri aavaz sunta hai,*meri madad ki pukar sunta hai.+   woh meri taraf apna kaan lagata hai,*+jab tak main zinda hoon, use pukaroonga.   maut ke rasson ne mujhe kas liya tha,kabraa ne mujhe jakad liya tha.+ dukh aur peeda mujh par haavi ho gayi thi.+   magar mainne yahova ka naam pukara:+ “hey yahova, mujhe chhuda le!”   yahova karuna se bhara aur nek hai,+hamara parmeshvar dayalu hai.+   yahova unki raksha karta hai jinhein koi tajurba nahin hai.+ main dukh se behal tha, usne mujhe bachaya.   mere ji ko fir se chain mile,kyonki yahova ne mujh par kripa ki hai.   toone mujhe maut se chhudaya,meri aankhon mein aansoo nahin aane diye,mere pairon ko thokar nahin lagne di.+   main jab tak zinda hoon,* yahova ke saamne chalta rahoonga. 10  mujhe vishvas tha, tabhi mainne kaha,+iske baavjood ki mujhe bahot sataya gaya. 11  main bahot ghabra gaya tha, mainne kaha, “har aadmi jhootha hai.”+ 12  yahova ne mere saath jitni bhi bhalai ki hai,uska badla main kaise chukaunga? 13  main uddhaar ka pyala peeunga,yahova ka naam pukaroonga. 14  mainne yahova se jo mannatein maani hain,woh uske sab logon ke dekhte poori karoonga.+ 15  yahova ki nazar mein uske vafadar janon ki maut bahot anmol* hai.+ 16  hey yahova, main tujhse gidgidakar minnat karta hoonkyonki main tera sevak hoon. tera sevak hoon, teri daasi ka beta hoon. toone mujhe bediyon se aazad kiya hai.+ 17  main tujhe dhanyavad-bali chadhaunga,+yahova ka naam pukaroonga. 18  mainne yahova se jo mannatein maani hain,+woh uske sab logon ke dekhte poori karoonga,+ 19  main yahova ke bhavan ke aanganon mein,+hey yarooshalem, tere beech yah sab karoonga. yaah ki taareef karo!*+

kai footnote

ya shaayad, “main pyar karta hoon kyonki yahova sunta hai.”
ya “jhukkar meri sunta hai.”
shaa., “main jeeviton ke desh mein.”
ya “gambheer baat.”
ya “hallilooyah!” “yaah” yahova naam ka chhota roop hai.