bhajan 120:1-7
chadhai ka geet.*
120 museebat mein mainne yahova ko pukara+aur usne mujhe javab diya.+
2 hey yahova, mujhe jhooth bolnevale honthon seaur chhali zaban se bacha le.
3 hey chhali zaban, tu jaanti hai ki parmeshvar tere saath kya karega?tujhe kya saza dega?+
4 woh tujh par ek yoddha ke nukeele teeron+ se,jhaadiyon ke jalte angaron+ se vaar karega.
5 haay mujh par,mujhe meshek+ mein pardesi bankar rehna pada hai!
kedar ke deron+ mein basna pada hai!
6 shaanti ke dushmanon ke beech rehte huye+mujhe ek zamana ho gaya hai.
7 main shaanti chahta hoon, magar jab main bolta hoonto woh ladai ke liye utaroo ho jaate hain.