bhajan 123:1-4

  • kripa ke liye yahova ki or taakna

    • ‘daason ki tarah hamari aankhein yahova par tiki rehti hain’ (2)

    • ‘jitna apman sehna tha, sah liya’ (3)

chadhai ka geet. 123  main teri or nazrein uthata hoon,+teri or, jo swarg mein virajman hai.   jaise daason ki aankhein apne maalik ke haath par lagi rehti hain,jaise ek daasi ki aankhein apni maalkin ke haath par lagi rehti hain,vaise hi hamari aankhein hamare parmeshvar yahova par tiki rehti hain,+tab tak jab tak ki woh hum par kripa na kare.+   hum par kripa kar, hey yahova, hum par kripa kar,hamein jitna apman sehna tha utna hamne sah liya hai.+   jinhein khud par kuch zyada hi bharosa hai,unke jitne taane sehne the utne hamne sah liye hain,magrooron ke haathon jitna apman sehna tha, utna sah liya hai.

kai footnote