bhajan 126:1-6
chadhai ka geet.
126 jab yahova siyyon ke logon ko ikattha karke bandhuai se lauta le aaya,+to hamein aisa laga ki hum sapna dekh rahe hain.
2 tab hum khilkhilakar hansne lage,khushi se jayjaykar karne lage.+
tab raashtron ke log ek-doosre se kehne lage,“yahova ne unki khaatir bade-bade kaam kiye hain.”+
3 yahova ne hamari khaatir bade-bade kaam kiye hain,+isliye hum khushi se foole nahin sama rahe.
4 hey yahova, hamare logon ko ikattha karke bandhuai se lauta le aa,*negeb ki dhaaraon* ki tarah unhein vaapas le aa.
5 jo aansoo bahate huye beej bo rahe hain,woh khushi se jayjaykar karte huye katai kareinge.
6 jo apne beej ki thaili lekar rote huye bhi khet jaata hai,woh yakeenan khushi se jayjaykar karta hua lautega,+haath mein apne poole liye lautega.+