bhajan 136:1-26
136 yahova ka shukriya ada karo kyonki woh bhala hai,+uska atal pyar sada bana rehta hai.+
2 woh sab ishvaron se mahan ishvar hai,+ uska shukriya ada karo,kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai.
3 woh sab prabhuon se mahan prabhu hai, uska shukriya ada karo,kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai.
4 vahi akela bade-bade ajoobe karta hai,+kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai.+
5 usne badi kushalta * se aakash ki rachna ki,+kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai.
6 usne dharti ko paani ke oopar failaya,+kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai.
7 usne badi-badi jyotiyaan banayin,+kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai,
8 usne din par adhikar rakhne ke liye sooraj banaya,+kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai,
9 raat par adhikar rakhne ke liye chaand-sitare banaye,+kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai.
10 usne misra ke pehalauthon ko maar daala,+kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai.
11 woh israel ko unke beech se nikaal laaya,+kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai,
12 apna shaktishali haath badhakar use nikaal laaya,+kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai.
13 usne laal saagar ko do hisson mein baant diya,+kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai.
14 usne israel ko uske beech se paar karaya,+kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai.
15 usne firaun aur uski sena ko laal saagar mein jhatak diya,+kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai.
16 woh apne logon ko veerane mein raasta dikhata le gaya,+kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai.
17 usne bade-bade raajaon ko maar daala,+kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai.
18 usne taakatvar raajaon ko maar daala,kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai,
19 emoriyon ke raja seehon ko maar daala,+kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai,
20 baashaan ke raja og ko bhi maar daala,+kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai.
21 usne unka desh virasat mein de diya,+kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai,
22 apne sevak israel ko virasat mein de diya,kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai.
23 jab hum nirash the tab usne hum par dhyan diya,+kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai.+
24 woh hamein bairiyon se chhudata raha,+kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai.
25 woh harek jeev ko khaana deta hai,+kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai.
26 swarg ke parmeshvar ka shukriya ada karo,kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai.
kai footnote
^ ya “samajh.”