bhajan 14:1-7
daavid ki rachna. nirdeshak ke liye hidayat.
14 moorkh* man mein kehta hai, “koi yahova nahin.”+
aise logon ke kaam bhrasht aur ghinaune hote hain,koi bhi bhala kaam nahin karta.+
2 magar yahova swarg se insanon ko dekhta haiki kya koi androoni samajh rakhnevala hai,kya koi yahova ki khoj karnevala hai.+
3 woh sab sahi raah se hat gaye hain,+sab-ke-sab bhrasht ho gaye hain.
koi bhi bhala kaam nahin karta, ek bhi nahin.
4 kya gunahgaron mein se koi bhi samajh nahin rakhta?
woh mere logon ko aise khaa jaate hain maano roti ho.
woh yahova ko nahin pukarte.
5 magar un sab par khauf chhaa jaayega,+kyonki yahova nek janon ki peedhi ke saath rehta hai.
6 gunahgaro, tum deen jan ki yojnayen naakam karne ki koshish karte ho,magar yahova uski panah hai.+
7 israel ka uddhaar siyyon ki taraf se ho!+
jab yahova apne logon ko bandhuai se lauta le aayega,tab yakub khushiyaan manaye, israel jashna manaye.
kai footnote
^ ya “naasamajh.”