bhajan 143:1-12

  • sookhi zameen ki tarah parmeshvar ke liye pyasa

    • ‘tere kaamon par gehrai se sochta hoon’ (5)

    • “mujhe teri marzee poori karna sikha” (10)

    • ‘teri pavitra shakti bhali hai, woh meri aguvai kare’ (10)

daavid ka sureela geet. 143  hey yahova, meri prarthna sun,+meri madad ki pukar sun. tu vishvasyogya aur nek hai, isliye mujhe javab de.   apne sevak par mukadma na chala,kyonki koi bhi insan tere saamne nek nahin thahar sakta.+   dushman mera peechha kar raha hai,usne mujhe zameen par raundkar meri jaan le li. mujhe andhere mein daal diya,un logon ki tarah jinhein mare arsa ho gaya hai.   meri taakat javab de rahi hai,+mera man sunna ho gaya hai.+   main guzre din yaad karta hoon,tere sab kaamon par manan karta hoon,+tere haath ke kaam par gehrai se sochta hoon.*   main tere saamne apne haath failata hoon,jaise sookhi zameen baarish ki pyasi hoti hai, vaise hi main tera pyasa hoon.+ (sela )   hey yahova, mujhe jald javab de,+meri taakat mit chuki hai.+ mujhse apna munh na fer,+varna main gaddhe* mein jaanevalon ki tarah ban jaaunga.+   mujhe bhor ko apne atal pyar ke baare mein suna,kyonki main tujh par bharosa rakhta hoon. mujhe woh raasta dikha jis par mujhe chalna chahiye,+kyonki main teri taraf mudta hoon.   hey yahova, mujhe dushmanon se chhuda le. main bachav ke liye teri aas lagata hoon.+ 10  mujhe teri marzee poori karna sikha,+kyonki tu mera parmeshvar hai. teri pavitra shakti bhali hai,woh samtal zameen* mein meri aguvai kare. 11  hey yahova, apne naam ki khaatir meri jaan ki hifazat kar. apni neki ki vajah se mujhe sankat se chhuda le.+ 12  apne atal pyar ki vajah se mere dushmanon ka ant kar de,+mujhe satanevalon ka naash kar de,+kyonki main tera sevak hoon.+

kai footnote

ya “ka adhyan karta hoon.”
ya “kabraa.”
ya “seedhai ke desh.”