bhajan 148:1-14

  • saari srishti yahova ki taareef kare

    • “swargdooto, uski taareef karo” (2)

    • ‘sooraj, chaand, taaro, uski taareef karo’ (3)

    • javan aur buzurg parmeshvar ki taareef karein (12, 13)

148  yaah ki taareef karo!* swarg se yahova ki taareef karo,+unchi jagahon mein uski taareef karo.   uske sab swargdooto, uski taareef karo.+ uski saari senao, uski taareef karo.+   sooraj aur chaand, uski taareef karo. chamakte taaro, tum sab uski taareef karo.+   hey sabse unche aasman aur unke oopar thahre paani,uski taareef karo.   woh yahova ke naam ki taareef karein,kyonki uske hukm dene par unki srishti hui thi.+   woh unhein sada ke liye kaayam rakhta hai,+usne ek farman jaari kiya jo kabhi radd nahin hoga.+   dharti se yahova ki taareef karo,gehre samundaro aur unke vishal jeevo,   bijli aur olo, barf aur kaali ghatao,uska hukm maannevali aandhiyo,+   pahado aur sab pahadiyo,+faldar pedo aur sab devdaro,+ 10  jangli jaanvaro+ aur sab paaltoo jaanvaro,reingnevale jeevo aur panchhiyo, 11  dharti ke raajao aur sab raashtro,dharti ke haakimo aur sab nyayiyo,+ 12  javan ladko aur javan ladkiyo,*buzurg aadmiyo aur javano, sab milkar uski taareef karo. 13  woh sab yahova ke naam ki taareef karein,kyonki sirf usi ka naam sabse uncha aur mahan hai.+ uska pratap dharti aur aakash ke oopar faila hai.+ 14  woh apne logon ki taakat badhayega*taaki uske sabhi vafadar log,uske sabse azeez israeli log samman paayen. yaah ki taareef karo!*

kai footnote

ya “hallilooyah!” “yaah” yahova naam ka chhota roop hai.
shaa., “kunvariyo.”
shaa., “ka sing uncha karega.”
ya “hallilooyah!” “yaah” yahova naam ka chhota roop hai.