bhajan 15:1-5
daavid ka sureela geet.
15 hey yahova, kaun tere tamboo mein mehman bankar reh sakta hai?
kaun tere pavitra pahad par nivas kar sakta hai?+
2 vahi jo bedag zindagi jeeta hai,*+hamesha sahi kaam karta hai+aur dil mein sach bolta hai.+
3 woh apni zaban se doosron ko badnam nahin karta,+apne padosi ka kuch bura nahin karta,+na hi apne doston ka naam kharab* karta hai.+
4 woh kisi tuchh insan se naata nahin rakhta,+magar yahova ka dar maannevalon ka samman karta hai.
woh apna vaada nibhata hai,* fir chahe use nuksan sehna pade.+
5 woh byaj par udhaar nahin deta,+na kisi nirdosh ko doshi thehrane ke liye rishvat leta hai.+
jo koi ye sab karta hai, use kabhi hilaya nahin jaa sakta.*+
kai footnote
^ ya “nirdosh chaalchalan banaye rakhta hai.”
^ ya “ko sharminda.”
^ shaa., “apni shapath poori karta hai.”
^ ya “woh kabhi nahin dagmagayega (ya ladkhadayega).”