bhajan 16:1-11
daavid ka miktam.*
16 hey parmeshvar, meri raksha kar kyonki mainne teri panah li hai.+
2 mainne yahova se kaha, “hey yahova, mera bhala karnevala tu hi hai.
3 dharti ke pavitra aur gauravshali logmujhe badi khushi dete hain.”+
4 jo doosre devtaon ke peechhe bhaagte hain, woh apne dukh badhate jaate hain.+
main kabhi unke saath milkar khoon ka argh nahin chadhaunga,na hi apne honthon se un devtaon ka naam loonga.+
5 yahova mera bhaag hai, mujhe diya gaya hissa hai,+vahi mera pyala bharta hai.+
tu meri virasat ki hifazat karta hai.
6 mere hisse mein kai manbhavni jagah aayi hain.
main apni virasat se vaakai khush hoon.+
7 main yahova ki taareef karoonga jisne mujhe salah di hai.+
raat ke vakt bhi mere man ki gehrai mein chhipe vichar* mujhe sudhaarte hain.+
8 main har pal yahova ko apni nazron ke saamne rakhta hoon.+
woh mere daayin taraf rehta hai, isliye main kabhi hilaya nahin jaa sakta.*+
9 mera dil khushiyon se sarabor hai,mere rom-rom* mein khushi ki lahar daud rahi hai.
aur main* mehfooz basa rehta hoon.
10 kyonki tu mujhe kabraa* mein nahin chhod dega.+
tu apne vafadar jan ko gaddhe mein pade rehne nahin dega.*+
11 tu mujhe zindagi ki raah dikhata hai.+
tere saamne rehkar mujhe apar sukh milta hai,+tere daayin taraf rehna mujhe sada khushi* deta hai.
kai footnote
^ ya “meri gehri bhaavnayen.” shaa., “mere gurde.”
^ ya “main dagmaga (ya ladkhada) nahin sakta.”
^ shaa., “meri mahima.”
^ ya “mera shareer.”
^ shaa., “gaddha nahin dekhne dega.” ya shaayad, “sadne nahin dega.”
^ ya “sukh.”