bhajan 18:1-50
nirdeshak ke liye hidayat. yahova ke sevak daavid ka geet. yah geet usne yahova ke liye tab gaaya jab yahova ne use sabhi dushmanon aur shaaool ke haath se chhudaya tha:+
18 hey yahova, meri taakat,+ main tujhse gehra lagav rakhta hoon.
2 yahova mere liye badi chattan aur mazboot gadh hai, vahi mera chhudanevala hai.+
mera parmeshvar meri chattan hai+ jiski main panah leta hoon,woh meri dhaal aur mera uddhaar ka sing* hai, mera uncha gadh hai.+
3 main yahova ko pukarta hoon jo taareef ke kaabil haiaur mujhe dushmanon se bachaya jaayega.+
4 maut ke rasson ne mujhe kas liya,+nikamme aadmiyon ne achanak aanevali baadh ki tarah mujhe dara diya.+
5 kabraa ke rasson ne mujhe gher liya,mere saamne maut ke fande bichhaye gaye.+
6 museebat mein mainne yahova ko pukara,madad ke liye main apne parmeshvar ko pukarta raha.
apne mandir se usne meri suni,+meri madad ki pukar uske kaanon tak pahunchi.+
7 tab dharti kaanpne lagi, buri tarah dolne lagi,+pahadon ki ninv hil gayi,unmein bhayanak halchal hui kyonki uska krodh bhadak utha tha.+
8 uske nathnon se dhuaan uthne laga,munh se bhasm karnevali aag nikaalne lagi,+uske paas se dehakte angare barasne lage.
9 neeche utarte vakt usne aasman jhuka diya,+kaali ghatayen uske pairon tale aa gayin.+
10 woh ek karoob par savaar hokar udta hua aaya.+
woh ek swargdoot* ke pankhon par savaar hokar tezee se neeche aaya.+
11 fir usne andhkar ko odh liya,+kaali ghanghor ghataon ko apna mandap banaya.+
12 uske saamne aisa tej tha ki baadal fat gaye,unse ole aur dhadhakte angare barasne lage.
13 fir swarg mein yahova garajne laga,+param-pradhan ne apni buland aavaz sunayi,+tab ole aur dhadhakte angare barasne lage.
14 usne teer chalakar unhein titar-bitar kar diya,+bijli girakar unmein khalbali macha di.+
15 hey yahova, jab toone daant lagayi aur tere nathnon se funkar nikli,to nadiyon ke tal nazar aane lage,+dharti ki buniyad tak dikhne lagi.+
16 usne oopar se haath badhakar mujhe thaam liya,gehre paani se khinchkar baahar nikaal liya.+
17 usne mujhe taakatvar dushman se chhudaya,+un logon se jo mujhse nafrat karte the, mujhse zyada taakatvar the.+
18 woh meri museebat ke din mujh par toot pade,+lekin yahova mera sahara tha.
19 woh mujhe nikaalkar ek mehfooz* jagah le aaya,usne mujhe dushmanon se chhudaya kyonki woh mujhse khush tha.+
20 yahova meri neki ke mutabik mujhe fal deta hai,+meri begunahi* ke mutabik inam deta hai.+
21 kyonki main hamesha yahova ki raahon par chalta raha,mainne apne parmeshvar se door jaane ki dushtata nahin ki.
22 uske sabhi nyay-siddhaant mere saamne hain,main kabhi uski vidhiyon ko nazarandaz nahin karoonga.
23 main uski nazron mein nirdosh bana rahoonga,+main hamesha khud ko burai se door rakhoonga.+
24 yahova meri neki ke mutabik mujhe fal de,+meri begunahi ke mutabik inam de jo usne apni aankhon se dekhi hai.+
25 jo vafadar rehta hai uske saath tu vafadari nibhata hai,+jo seedha hai uske saath tu seedhai se pesh aata hai,+
26 jo khud ko shuddh banaye rakhta hai use tu dikhayega ki tu shuddh hai,+magar jo tedhi chaal chalta hai uske saath tu hoshiyari se kaam leta hai.+
27 kyonki tu deenon* ko bachata hai,+lekin magrooron ko neeche girata hai.*+
28 hey yahova, tu hi mera deepak jalata hai,mera parmeshvar, jo mere andhere ko ujala karta hai.+
29 teri madad se main lutere-dal ka mukabla kar sakta hoon,+parmeshvar ki taakat se main deevar laangh sakta hoon.+
30 sachche parmeshvar ka kaam khara* hai,+yahova ka vachan poori tarah shuddh hai.+
woh uski panah lenevalon ke liye ek dhaal hai.+
31 yahova ko chhod aur kaun parmeshvar hai?+
hamare parmeshvar ke siva aur kaun chattan hai?+
32 sachcha parmeshvar hi mujhe taakat deta hai,+woh mere liye seedhi* raah nikaalega.+
33 woh mere pairon ko hiran ke pairon jaisa banata hai,mujhe unchi-unchi jagahon par khada karta hai.+
34 woh mere haathon ko yuddh ka kaushal sikhata hai,mere baazoo tambe ki kaman mod sakte hain.
35 tu mujhe apni uddhaar ki dhaal deta hai,+tera daayaan haath mujhe thaam leta* haiaur teri namrata mujhe uncha uthati hai.+
36 tu mere kadmon ke liye raasta chauda karta hai,mere pair* nahin fisleinge.+
37 main apne dushmanon ka peechha karoonga aur unhein pakad loonga,main unhein mitakar hi lautoonga.
38 main unhein aise kuchal doonga ki woh uth nahin paayenge,+woh mere pairon tale gir jaayenge.
39 tu mujhe taakat dekar yuddh ke kaabil banayega,mere dushmanon ko mere kadmon ke neeche kar dega.+
40 tu mere dushmanon ko mujhse door bhaagne par majboor karega,*mujhse nafrat karnevalon ka main ant kar doonga.+
41 woh madad ke liye pukarte hain, magar unhein bachanevala koi nahin,woh yahova ko bhi pukarte hain, magar woh unhein javab nahin deta.
42 main unhein kootkar aisi dhool bana doonga jise hava uda le jaati hai,unhein galiyon ke keechad ki tarah baahar feink doonga.
43 tu mujhe mere apne logon ke virodh se bhi bachayega.+
mujhe raashtron ka mukhiya banayega.+
jin logon ko main jaanta tak nahin woh meri seva kareinge.+
44 pardesi mere baare mein bas ek khabar sunkar meri aagya maaneinge,darte-kaanpte mere saamne aayenge.+
45 pardesi himmat haar jaayenge,*apne kilon se thartharate huye baahar nikleinge.
46 yahova jeevit parmeshvar hai! meri chattan ki taareef ho!+
mere uddharkarta parmeshvar ki badai ho!+
47 sachcha parmeshvar meri taraf se badla leta hai,+desh-desh ke logon ko mere adheen kar deta hai.
48 woh mujhe bhadke huye dushmanon se chhudata hai.tu mujhe mere hamlavaron se uncha uthata hai,+mujhe zulmi ke haath se bachata hai.
49 iseeliye hey yahova, main raashtron ke beech teri mahima karoonga,+tere naam ki taareef mein geet gaaunga.*+
50 parmeshvar shaandar tareeke se apne raja ka uddhaar karta hai,*+woh apne abhishikt jan se,+daavid aur uske vansh se sada pyar* karta hai.+
kai footnote
^ ya “hava.”
^ ya “khuli.”
^ shaa., “mere haathon ki shuddhta.”
^ shaa., “ghamand bhari aankhon ko neechi karta hai.”
^ ya “sataye huon.”
^ ya “paripoorna.”
^ ya “paripoorna.”
^ ya “sambhaalta.”
^ ya “takhne.”
^ ya “tu mujhe mere dushmanon ki peeth de dega.”
^ ya “murjha jaayenge.”
^ ya “sangeet bajaunga.”
^ ya “parmeshvar apne raja ke liye badi-badi jeet dilata hai.”
^ ya “atal pyar.”