bhajan 2:1-12
2 raashtra kyon gusse se ufan rahe hain?desh-desh ke log kyon khokhli baat par fusfusa rahe hain?*+
2 dharti ke raja, yahova aur uske abhishikt jan*+ ke khilaf khade hote hain,bade-bade adhikari milkar unka virodh* karte hain.+
3 woh kehte hain, “aao, hum unki lagayi zanjeerein tod dein,unki rassiyaan kaat feinkein!”
4 swarg mein virajman parmeshvar un par hansega,yahova unka mazak udayega.
5 us vakt woh un par baras padega,apni jaljalahat se unhein ghabra dega.
6 woh unse kahega, “apne pavitra pahad siyyon+ parmainne apne thehraye raja ko raajgaddi par bithaya hai.”+
7 main yahova ke farman ka ailan karoonga.usne mujhse kaha hai, “tu mera beta hai,+aaj main tera pita bana hoon.+
8 mujhse maang, main tujhe virasat mein raashtra doonga,poori dharti ko teri jaageer bana doonga.+
9 tu lohe ke raajdand se unhein tod dega,+mitti ke bartan ki tarah chaknachoor kar dega.”+
10 isliye raajao, androoni samajh se kaam lo,dharti ke nyayiyo, shiksha kabool karo.*
11 yahova ka dar maante huye uski seva karo,uska gehra aadar karo aur aanand manao.
12 bete ka samman karo,*+ varna parmeshvar ka* krodh bhadak uthegaaur tum zindagi ki raah se mit jaaoge,+kyonki uska gussa kabhi-bhi bhadak sakta hai.
sukhi hain woh sab jo parmeshvar ki panah lete hain.
kai footnote
^ ya “manan kar rahe hain?”
^ ya “uske maseeh.”
^ ya “aapas mein salah.”
^ ya “khabardar ho jaao.”
^ shaa., “bete ko choomo.”
^ shaa., “uska.”