bhajan 26:1-12
daavid ki rachna.
26 hey yahova, mera nyay kar kyonki main nirdosh chaal chalta hoon,+yahova par mera bharosa atal hai.+
2 hey yahova, mujhe parakhkar dekh, mujhe kasauti par kas,mere dil ko aur gehrai mein chhipe vicharon* ko shuddh kar.+
3 kyonki tera atal pyar hamesha mere saamne rehta haiaur main teri sachchai ki raah par chalta hoon.+
4 main chhal karnevalon se mel-jol nahin rakhta,*+apni asliyat chhipanevalon se door rehta hoon.*
5 mujhe bure logon ki toli se nafrat hai,+main dushton se mel-jol rakhne* se inkar karta hoon.+
6 hey yahova, main apne haath dhokar khud ko begunah saabit karoongaaur teri vedi ke chaaron taraf ghoomoonga
7 taaki main unchi aavaz mein tera shukriya ada karoon,+tere sabhi aashcharya ke kaamon ka ailan karoon.
8 hey yahova, mujhe tera bhavan bahot pyara hai jahaan tu nivas karta hai,+jahaan teri mahima chhaayi rehti hai.+
9 paapiyon ke saath mera bhi safaya na kar dena,+na hi khoonkhar logon* ke saath meri jaan le lena,
10 jinke haath neech kaamon mein lage rehte hain,jinka daayaan haath rishvat se bhara rehta hai.
11 magar mainne to thaana hai ki main nirdosh chaal chaloonga.
mujhe chhuda le aur mujh par kripa kar.
12 main samtal zameen par khada hoon,+main badi mandli* mein yahova ki taareef karoonga.+
kai footnote
^ ya “meri gehri bhaavnaon.” shaa., “mere gurdon.”
^ shaa., “ke saath nahin baithta.”
^ ya “kaptiyon se nahin milta-julta.”
^ shaa., “ke saath baithne.”
^ ya “khoon bahanevalon.”
^ shaa., “main sabhaon.”