bhajan 28:1-9
-
is bhajan ke lekhak ki prarthna suni gayi
-
‘yahova meri taakat aur dhaal hai’ (7)
-
daavid ki rachna.
28 hey yahova, meri chattan, main tujhe hi pukarta rehta hoon,+meri prarthna ansuni na kar.
agar tu chup rahega,to meri haalaat gaddhe* mein jaanevalon ki tarah ho jaayegi+
2 jab main madad ke liye pukaroon,tere pavitra-sthan ke bheetri kamre ki taraf apne haath uthaun,+to tu meri duhai sunnaa.
3 tu dushton ke saath mujhe ghaseet na le jaana,jo nuksan pahunchnevale kaam karte hain,+apne sangi se shaanti ki baatein karte hain, magar unke dil mein mail bhara hota hai.+
4 unhein unki karni ka fal de,+unke bure kaamon ka sila de.
unke kiye ki saza unhein de,unhonne jo kiya hai uska badla unhein de.+
5 kyonki woh na yahova ke kaamon par,na hi uske haath ke kaamon par dhyan dete hain.+
woh unhein dhaa dega aur dobara khada nahin karega.
6 yahova ki taareef ho,kyonki usne meri madad ki pukar suni hai.
7 yahova meri taakat+ aur meri dhaal hai.+
mera dil usi par bharosa karta hai.+
mujhe usse madad mili hai aur mera dil magan hai,isliye main apne geet mein uski taareef karoonga.
8 yahova apne logon ki taakat hai,woh ek mazboot gadh hai, apne abhishikt jan ko shaandar tareeke se bachata hai.+
9 apne logon ko bacha le, apni virasat ko aasheesh de.+
unka charvaha ban jaa aur sada unhein apni god mein liye reh.+
kai footnote
^ ya “kabraa.”