bhajan 29:1-11

  • yahova ki damdar aavaz

    • pavitra poshak pehne upasna karo (2)

    • “gauravshali parmeshvar garaj raha hai” (3)

    • woh apne logon ko taakat deta hai (11)

daavid ka sureela geet. 29  hey shoorveeron ke beto, yahova ka aadar karo,yahova ka aadar karo kyonki woh mahima aur taakat se bharpoor hai.+   yahova ka naam jitni mahima ka hakdar hai utni mahima use do. pavitra poshak pehne* yahova ko dandvat karo.*   yahova ki aavaz baadlon* ke oopar sunayi de rahi hai,gauravshali parmeshvar garaj raha hai.+ yahova ghane baadlon ke oopar hai.+   yahova ki aavaz kya hi damdar hai!+yahova ki aavaz kya hi laajavab hai!   yahova ki aavaz se devdar tootkar gir jaate hain,haan, yahova labanon ke devdaron ke tukde-tukde kar deta hai.+   woh labanon* ko ek bachhde ki tarahaur siryon+ ko ek jangli bail ki tarah kudata hai.   yahova ki aavaz ke saath aag ke shole bhadak uthte hain,+   yahova ki aavaz se veerana kaanp uthta hai,+yahova kaadesh ke veerane+ ko kanpa deta hai.   yahova ki aavaz se gaabhin hirni dehal jaati hai,uska bachcha nikaal padta hai,jangal-ke-jangal ujad jaate hain.+ uske mandir mein sab kehte hain, “parmeshvar ki mahima ho!” 10  yahova jalpralay* ke oopar virajman hai,+yahova sada raja ki haisiyat se virajman rehta hai.+ 11  yahova apne logon ko taakat dega.+ yahova apne logon ko shaanti ki aasheesh dega.+

kai footnote

ya shaayad, “uski pavitrata ke vaibhav ki vajah se.”
ya “ki upasna karo.”
shaa., “paani.”
zahir hai, labanon parvatmala.
ya “aasman mein faile mahasagar.”