bhajan 3:1-8
daavid ka sureela geet. yah geet us samay ka hai jab daavid apne bete abshalom se bhaag raha tha.+
3 hey yahova, itne saare log mere dushman kaise ban gaye?+
mere khilaf uthnevale ye sab kahaan se aa gaye?+
2 bahot-se log mere baare mein kehte hain,
“parmeshvar use nahin bachayega.”+ (sela )*
3 magar hey yahova, tu mere chaaron taraf ek dhaal hai,+tu meri shaan hai,+ tu hi mera sir uncha uthata hai.+
4 main zor-zor se yahova ko pukaroongaaur woh apne pavitra pahad se mujhe javab dega.+ (sela )
5 main befikra letoonga, chain se soungaaur sahi-salamat uthoonga,kyonki yahova hardam mera saath deta hai.+
6 chahe laakhon dushman mujhe gher lein,fir bhi main nahin daroonga.+
7 hey yahova, uth! mere parmeshvar, mujhe bacha le!+
tu mere sabhi dushmanon ke jabde par maarega,un dushton ke daant tod daalega.+
8 uddhaar karnevala yahova hi hai.+
teri aasheesh tere logon par rehti hai. (sela )