bhajan 30:1-12

  • maatam jashna mein badal gaya

    • parmeshvar ki kripa zindagi-bhar bani rehti hai (5)

daavid ka sureela geet. naye ghar ke udghatan ka geet. 30  hey yahova, main teri badai karoonga kyonki toone mujhe oopar nikaala hai,*toone mere dushmanon ko mujh par hansne ka mauka nahin diya.+   hey yahova, mere parmeshvar, mainne tujhe madad ke liye pukara aur toone mujhe changa kiya.+   hey yahova, toone mujhe kabraa mein se oopar nikaala,+ meri jaan salamat rakhi, mujhe gaddhe* mein girne se bachaya.+   yahova ke vafadar logo, uski taareef mein geet gaao,*+uske pavitra naam* ki taareef karo,+   kyonki uska krodh pal-bhar ka hota hai,+jabki uski kripa* zindagi-bhar bani rehti hai.+ saanjh ko bhale hi rona pade, par savere khushi se jayjaykar hogi.+   jab mujhe koi pareshani nahin thi tab mainne kaha, “main kabhi hilaya nahin jaa sakta.”*   hey yahova, jab tu mujhse khush tha* tab toone mujhe pahad jaisa mazboot kiya.+ magar jab toone mujhse munh fer liya to main bahot dar gaya.+   hey yahova, main tujhi ko pukarta raha,+main yahova se kripa ki binti karta raha.   kya mere marne* se, gaddhe* mein jaane se koi faayda hoga?+ kya mitti teri taareef karegi?+ teri vafadari ka bakhan karegi?+ 10  hey yahova, meri dua sun, mujh par kripa kar.+ hey yahova, mera madadgar ban jaa.+ 11  toone mera maatam khushiyon* mein badal diya,mera taat utaarkar mujhe jashna ka odhna odhaya 12  taaki main* teri taareef mein geet gaaun aur chup na rahoon. hey yahova, mere parmeshvar, main sada teri taareef karta rahoonga.

kai footnote

ya “khinch nikaala.”
ya “kabraa.”
ya “sangeet bajao.”
shaa., “uski pavitrata ki yaadgar.”
ya “manzoori.”
ya “main dagmaga (ya ladkhada) nahin sakta.”
ya “teri manzoori mujh par thi.”
shaa., “khoon.”
ya “kabraa.”
shaa., “naach.”
ya “meri mahima.”