bhajan 4:1-8

  • prarthna jo parmeshvar par bharosa dikhati hai

    • “gusse se bhar jaao, to bhi paap mat karo” (4)

    • ‘main chain se sounga’ (8)

daavid ka sureela geet. nirdeshak ke liye hidayat: yah geet taaronvale baaje bajakar gaaya jaaye. 4  hey mere nek parmeshvar,+ jab main tujhe pukaroon to mujhe javab de. museebaton se ghir jaaun to mere liye koi raasta nikaal.* mujh par kripa kar aur meri prarthna sun.   hey logo, tum kab tak mera aadar karne ke bajay apman karte rahoge, bekar ki baaton se lagav rakhoge, jhooth ke peechhe bhaagte rahoge? (sela )   jaan lo, yahova apne vafadar jan ka khaas khayal rakhega,*jab main yahova ko pukaroonga to woh meri sunega.   agar tum gusse se bhar jaao, to bhi paap mat karo.+ bistar par lete man-hi-man socho aur shaant raho. (sela )   neki ke balidan chadhaoaur yahova par bharosa rakho.+   bahot-se hain jo kehte hain, “kaun hamein achhe din dikhayega?” hey yahova, apne mukh ka prakash hum par chamka.+   toone mere dil ko unse zyada khushiyaan di hain,jinke paas bharpoor fasal aur nayi daakh-madira hai.   main befikra letoonga, chain se sounga,+kyonki hey yahova, sirf tu hi mujhe mehfooz rakhta hai.+

kai footnote

shaa., “jagah chaudi kar.”
ya “ka samman karega; ko khud ke liye alag rakhega.”