bhajan 44:1-26
korah ke vanshajon+ ki rachna. nirdeshak ke liye hidayat. mashkeel.*
44 hey parmeshvar, hamare kaanon ne tere baare mein suna hai,tere kaamon ka byaura purkhon ki zabani suna hai,+jo toone unke dinon mein kiye the,haan, muddaton pehale kiye the.
2 apne haath se toone doosri jaatiyon ko bhagaya+aur unke desh mein hamare purkhon ko basaya.+
toone jaatiyon ko kuchal diya, unhein khaded diya.+
3 hamare purkhon ne apni talvar ke dam par desh par adhikar nahin paaya,+na hi apne balboote jeet haasil ki.+
yah isliye hua kyonki toone apne daayen haath ki shakti dikhayi,+tere mukh ka prakash un par chamka,tu unse khush tha.+
4 hey parmeshvar, tu mera raja hai,+aagya de ki yakub ko poori jeet mile.*
5 teri taakat se hum apne bairiyon ko bhaga deinge,+tere naam se apne virodhiyon ko raund daaleinge.+
6 kyonki main apni kaman par bharosa nahin rakhta,meri talvar mujhe nahin bacha sakti.+
7 hamare bairiyon se toone hi hamein bachaya,+hamse nafrat karnevalon ko toone neecha dikhaya.
8 din-bhar hum parmeshvar ki taareef kareinge,sada tere naam ki taareef kareinge. (sela )
9 magar ab toone hamein tyag diya,hamein neecha dikhaya,tu hamari senaon ke saath nahin aata.
10 tu hamein dushman ko peeth dikhakar bhaagne par majboor karta hai,+hamse nafrat karnevale jo chahe hamse loot lete hain.
11 toone hamein dushmanon ke havale kar diya ki woh hamein bhedon ki tarah khaa jaayen,toone hamein doosre deshon mein titar-bitar kar diya.+
12 tu apne logon ko bina daam bech deta hai+tu unko bechkar* koi munafa nahin kamata.
13 toone hamein padosiyon ke beech badnam hone diya,aas-paas ke sab log hamara mazak banate hain, hamari khilli udate hain.
14 toone hamein raashtron ke saamne tamasha* bana diya hai,+desh-desh ke log sir hilakar hum par hanste hain.
15 saara din mujhe beizzat kiya jaata hai,ab mujhse yah apman saha nahin jaata,
16 kyonki dushman mujhse badla lete hain,mujhe taane maarte hain, beizzat karte hain.
17 itna kuch hone par bhi hum tujhe nahin bhoole,na hi hamne tera karar toda hai.+
18 hamara man bahakkar tujhse door nahin gaya,na hi hamare kadam teri raah se bhatke.
19 magar toone hamein vahaan kuchal diya jahaan geedad rehte hain,toone ghor andhkar se hamein dhak diya.
20 agar hum apne parmeshvar ka naam bhula dein,ya kisi paraye devta ke saamne haath failakar dua karein,
21 to kya parmeshvar ko iska pata nahin chal jaayega?
woh to dil ka har raaz jaanta hai.+
22 teri khaatir hum din-bhar maut ka saamna karte hain,hamari haalaat un bhedon jaisi hai jinhein halal kiya jaayega.+
23 hey yahova, jaag! tu kyon so raha hai?+
uth! hamein sada ke liye tyag na de.+
24 toone kyon hamse munh fer liya hai?
hum jo dukh aur atyachar sehte hain, unhein tu kyon bhool gaya hai?
25 hamein zameen par patak diya gaya hai,hum aundhe munh pade hain.+
26 hamari madad ke liye jaldi uth!+
apne atal pyar ke kaaran hamein chhuda le.+