bhajan 50:1-23
aasap+ ka sureela geet.
50 sab ishvaron se mahan parmeshvar yahova+ ne kaha hai,poorab se pashchim tak*poori dharti ko aane ka aadesh diya hai.
2 parmeshvar siyyon se, jiski khoobsoorti bemisal* hai,+ apna tej chamkata hai.
3 hamara parmeshvar zaroor aayega aur woh chup na rahega.+
uske saamne bhasm karnevali aag hai,+uske chaaron taraf zordar aandhi chalti hai.+
4 usne aakash aur dharti ko aane ka aadesh diya hai+taaki jab woh apne logon ka nyay kare+ to woh gavah thehrein:
5 “mere vafadar logon ko mere paas ikattha karo,jinhonne balidan ki bina par mere saath ek karar kiya hai.”+
6 aakash, parmeshvar ki neki ka ailan karta hai,kyonki parmeshvar khud nyayi hai.+ (sela )
7 “hey meri praja, main jo kehne jaa raha hoon use sun,hey israel, main tere khilaf gavahi doonga.+
main parmeshvar hoon, tera parmeshvar.+
8 main tere balidanon ki vajah se tujhe nahin fatkaarta,na hi teri hom-baliyon ki vajah se, jo tu mere saamne niyamit taur par chadhata hai.+
9 mujhe na to tere ghar ka bail chahiye,na tere baade ke bakre.+
10 kyonki jangal ka har jaanvar mera hai,hazaron pahadon par rehnevale pashu bhi mere hain.+
11 main pahadon ke har panchhi ke baare mein jaanta hoon,+maidan ke anginat jeev-jantu mere hain.
12 agar main bhookha hota, to bhi tujhse nahin kehta,kyonki upjaoo zameen aur uski har cheez meri hai.+
13 main kya bailon ka gosht khaaunga?bakron ka khoon peeunga?+
14 parmeshvar ko dhanyavad de, yah tera balidan hoga+aur param-pradhan se maani mannatein poori kar.+
15 museebat ki ghadi mein mujhe pukar,+
main tujhe chhudaunga aur tu meri mahima karega.”+
16 magar parmeshvar dusht se kahega,
“tujhe mere niyamon ke baare mein bataneya mere karar+ ke baare mein baat karne ka kya hak hai?+
17 tu to shiksha* se nafrat karta hai,baar-baar meri salah thukra deta hai.+
18 jab tu kisi chor ko dekhta hai to use sahi thehrata hai,*+tu badchalan logon se mel-jol rakhta hai.
19 tu apne munh se buri baatein failata hai,teri jeebh hamesha chhal ki baatein kehti hai.+
20 tu baithkar apne hi bhaai ke khilaf bolta hai,+apne sage bhaai ki khaamiyaan doosron ko batata hai.*
21 jab toone ye kaam kiye to main chup rahaaur toone soch liya ki main bhi tere jaisa hoon.
magar ab main tujhe sudhaarne ke liye fatkaaroonga,tujh par mukadma karoonga.+
22 parmeshvar ko bhoolnevalo, zara is baat par gaur karo,+varna main tumhari boti-boti kar doonga aur tumhein bachanevala koi na hoga.
23 jab koi mujhe dhanyavad deta hai, jo ki uska balidan hai, to woh meri mahima karta hai.+
jo mazboot irade se sahi raah par chalta rehta hai,uska main uddhaar karoonga.”+
kai footnote
^ ya “sooraj ke ugne se doobne tak.”
^ ya “paripoorna.”
^ ya “hidayat.”
^ ya shaayad, “usse mil jaata hai.”
^ ya “ko badnam karta hai.”