bhajan 52:1-9
nirdeshak ke liye hidayat. mashkeel.* daavid ka yah geet us samay ka hai jab edomi doeg shaaool ko bata deta hai ki daavid aheemelek+ ke ghar gaya tha.
52 are dusht, tu kyon apne bure kaamon par ding maarta hai?+
kya tu jaanta nahin, parmeshvar ka atal pyar din-bhar kaayam rehta hai?+
2 teri zaban ustare jaisi tez hai,+jo bura karne ki saazishein rachti hai, chhal ki baatein gadhti hai.+
3 tu achhai se nahin burai se pyar karta hai,tujhe sach ke bajay jhooth bolna raas aata hai. (sela )
4 hey chhali zaban,tu nuksan karnevali har baat pasand karti hai!
5 isliye parmeshvar tujhe girakar hamesha ke liye naash kar dega,+tujhe jhapatkar pakad lega aur tamboo se baahar ghaseet laayega,+duniya* se tujhe jad se ukhaad dega.+ (sela )
6 nek log yah dekheinge aur shraddha se bhar jaayenge,+woh yah kehkar us dusht par hanseinge:+
7 “dekho is aadmi ko, jisne parmeshvar ki panah nahin li*+balki apni beshumar daulat par bharosa kiya,+apni saazishon ka sahara* liya.”
8 magar main parmeshvar ke bhavan mein falte-foolte jaitoon ped jaisa hounga,mainne parmeshvar ke atal pyar par bharosa rakha hai+ aur sada rakhoonga.
9 main sada teri taareef karoonga kyonki toone kadam uthaya hai,+tere vafadar janon ke saamnemain tere naam par aasha rakhoonga+ kyonki woh bhala hai.