bhajan 53:1-6
daavid ki rachna. nirdeshak ke liye hidayat: mahlat ki shaili* mein. mashkeel.*
53 moorkh* man mein kehta hai, “koi yahova nahin.”+
aise logon ke kaam bure hote hain, bhrasht aur ghinaune hote hain,koi bhi bhala kaam nahin karta.+
2 magar parmeshvar swarg se insanon ko dekhta hai+ki kya koi androoni samajh rakhnevala hai,kya koi yahova ki khoj karnevala hai.+
3 woh sab bhatak gaye hain,sab-ke-sab bhrasht ho gaye hain.
koi bhi bhala kaam nahin karta, ek bhi nahin.+
4 kya gunahgaron mein se koi bhi samajh nahin rakhta?
woh mere logon ko aise khaa jaate hain maano roti ho.
woh yahova ko nahin pukarte.+
5 magar un sab par khauf chhaa jaayega,aisa aatank jo unhonne pehale kabhi mehsoos nahin kiya,*kyonki parmeshvar tere hamlavaron* ki haddiyaan bikhra dega.
tu unhein sharminda karega kyonki yahova ne unhein thukra diya hai.
6 israel ka uddhaar siyyon ki taraf se ho!+
jab yahova apne logon ko bandhuai se lauta le aayega,tab yakub khushiyaan manaye, israel jashna manaye.
kai footnote
^ ya “naasamajh.”
^ ya shaayad, “vahaan jahaan darne ki koi vajah nahin thi.”
^ shaa., “tere khilaf chhaavni daalnevalon.”