bhajan 55:1-23
daavid ki rachna. nirdeshak ke liye hidayat: yah geet taaronvale baaje bajakar gaaya jaaye. mashkeel.*
55 hey parmeshvar, meri prarthna sun,+meri daya ki binti ansuni na kar.*+
2 mujh par dhyan de aur mujhe javab de,+main chinta ke maare bechain hoon,+dukh se behal hoon,
3 kyonki dushman chubhnevali baatein kehte hain,dusht mujh par dabav daalte hain.
ek-ke-baad-ek museebat khadi karte hain.
woh gusse se bhare huye hain aur man mein dushmani paalte hain.+
4 mera dil dard se tadap raha hai,+maut ka dar mujh par haavi ho gaya hai.+
5 main dar se kaanp raha hoon, tharthara raha hoon.
6 reh-rehkar ek hi khayal aata hai,“kaash, faakhte ki tarah mere bhi par hote!
main udkar kisi mehfooz jagah jaa basta.
7 main kahin door bhaag jaata.+
kisi veerane mein basera karta.+ (sela )
8 main is tez aandhi aur bhayanak toofan se bachkarkisi mehfooz jagah bhaag jaata.”
9 hey yahova, unhein uljhan mein daal de,unki chaalein naakam kar de,*+kyonki mainne shehar mein khoon-kharba aur jhagde dekhe hain.
10 raat-din woh sheharpanah ke oopar ghoomte rehte hain,shehar mein nafrat faili hai, dange ho rahe hain.+
11 beech shehar mein tabahi hai,zulm aur chhal uske chauk se kabhi door nahin hote.+
12 mujh par taana kasnevala agar mera dushman hota,+to main kisi tarah sah leta.
mere khilaf uthnevala agar mera bairi hota,to main usse chhip jaata.
13 magar woh to tu hai, mere jaisa aadmi,*+mera apna saathi jise main achhi tarah jaanta hoon.+
14 hamne dosti ke kitne meethe pal bitaye the,bheed ke saath hum parmeshvar ke bhavan mein jaaya karte the.
15 mere dushmanon par museebat toot pade!+
woh zinda hi kabraa mein chale jaayen,kyonki unke beech aur unke andar burai basi hai.
16 magar main to yahova ko pukaroongaaur woh mujhe bachayega.+
17 shaam, subah, dopahar, har vakt main chinta mein dooba karahta rehta hoon*+aur parmeshvar meri sunta hai.+
18 mujhse ladnevale behisab hain,magar parmeshvar mujhe unse chhudayega aur mere man ko chain dega.+
19 parmeshvar, jo yug-yug se apni raajgaddi par virajman hai,+meri duhai sunega aur unke khilaf kaarravai karega.+ (sela )
unhein badalna gavara nahin,woh parmeshvar ka dar nahin maante.+
20 usne* apne hi doston par hamla kiya,+usne apna karar tod diya.+
21 uski baatein makkhan se bhi chikni hain,+magar uske dil mein fasad bhara hai.
uske bol tel se bhi chikne hain,magar paini talvar ki tarah kaatte hain.+
22 apna saara bojh yahova par daal de,+woh tujhe sambhaalega.+
woh nek jan ko kabhi girne* nahin dega.+
23 magar hey parmeshvar, tu un dushton ko gehri khaai mein gira dega.+
woh khoon ke doshi aur dhokhebaz hain,woh aadhi zindagi bhi nahin ji paayenge,+magar main to tujh par bharosa rakhoonga.
kai footnote
^ ya “jab main madad ke liye prarthna karoon to tu chhip na jaana.”
^ ya “unki bhasha mein gadbadi daal de.”
^ ya “meri barbari ka aadmi.”
^ ya “dooba shor machata hoon.”
^ yaani woh jo pehale uska dost tha aur jiska zikra aay. 13 aur 14 mein kiya gaya hai.
^ ya “dagmagane; ladkhadane.”