bhajan 60:1-12
daavid ki rachna. nirdeshak ke liye hidayat: “yaadgar ka sosan” ke mutabik. miktam.* sikhane ke liye. yah geet us samay ka hai jab daavid ne aram-nahraim aur araam-soba ki sena se yuddh kiya tha aur yoab ne lautkar namak ghaati+ mein 12,000 edomiyon ko maar giraya tha.
60 hey parmeshvar, toone hamein thukra diya, hamari morchabandi tod di,+
tu hamse naaraz tha magar ab hamein dobara apna le!
2 toone dharti ko kanpkanpa diya, zameen cheer di.
ab iski dararein bhar de kyonki yah girnevali hai.
3 toone apne logon ko museebatein jhelne par majboor kiya.
hamein aisi daakh-madira pilayi ki hum ladkhadane lage.+
4 jo tera dar maante hain unhein ishara de*ki woh bhaag jaayen aur teer se bach jaayen. (sela )
5 apne daayen haath se hamein bacha le, hamari sun letaaki jinhein tu pyar karta hai woh chhudaye jaayen.+
6 parmeshvar apni pavitrata ke kaaran* kehta hai,
“main magan hounga, virasat mein shekem doonga,+sukkot ghaati naapkar doonga.+
7 manashshe mera hai, gilad bhi mera hai,+epraim mere sir ka top hai,yahooda mere liye haakim ki laathi hai.+
8 moab mera haath-pair dhone ka bartan hai.+
edom par main apna joota feinkoonga.+
palisht ko jeetkar main jashna manaunga.”+
9 kaun mujhe us ghire huye* shehar tak le jaayega?
kaun mujhe door edom tak le jaayega?+
10 hey hamare parmeshvar, tu hi hamein vahaan le jaayega.magar toone to hamein thukra diya hai,tu ab yuddh mein hamari sena ke saath nahin jaata.+
11 hum sankat mein hain, hamari madad kar,kyonki uddhaar ke liye insan par aas lagana bekar hai.+
12 parmeshvar se hamein taakat milegi,+woh hamare bairiyon ko raund daalega.+
kai footnote
^ ya shaayad, “unhein toone ishara diya hai.”
^ ya shaayad, “apni pavitra jagah mein.”
^ ya shaayad, “kileband.”