bhajan 62:1-12

  • sahi maaynon mein uddhaar parmeshvar dilata hai

    • “main chupchap parmeshvar ka intazar karta hoon” (1, 5)

    • ‘uske aage dil kholkar rakh do’ (8)

    • insan bas ek saans hai (9)

    • daulat par bharosa mat rakho (10)

daavid ka sureela geet. nirdeshak ke liye hidayat: yadootoon* ka. 62  main chupchap parmeshvar ka intazar karta hoon. vahi mera uddharkarta hai.+   vahi meri chattan aur mera uddhaar hai, mera uncha gadh hai,+main kabhi is kadar hilaya nahin jaa sakta ki gir jaaun.+   tum ek insan ko maar daalne ke liye kab tak us par vaar karte rahoge?+ tum sab-ke-sab khatarnak ho, us deevar ki tarah jo jhuki hui hai,patthar ki us deevar ki tarah jo bas dhahnevali hai.*   woh use unche pad* se girane ke liye aapas mein mashvira karte hain,unhein jhooth bolne mein maza aata hai. munh se to woh aasheervad dete hain, par man-hi-man shaap dete hain.+ (sela )   main chupchap parmeshvar ka intazar karta hoon,+kyonki usi se meri aasha bandhi hai.+   vahi meri chattan aur mera uddhaar hai, mera uncha gadh hai,mujhe kabhi hilaya nahin jaa sakta.+   mera uddhaar aur mera vaibhav parmeshvar ki hi badaulat hai. parmeshvar meri mazboot chattan hai, mera gadh hai.+   logo, hamesha us par bharosa rakho. uske aage apna dil kholkar rakh do.+ parmeshvar hamari panah hai.+ (sela )   insan bas ek saans hain,woh bas dhokha hain.+ agar un sabko ek-saath taula jaaye, to bhi woh saans se halke nikleinge.+ 10  is galatfhami mein mat raho ki dhokhadhadi se tum kaamyab hoge,ya loot-khasot se tumhein faayda hoga. agar tumhari daulat badhne lage, to apna man usi par mat lagana.+ 11  mainne ek baar nahin, do baar parmeshvar ko yah kehte suna, “taakat parmeshvar hi ki hai.”+ 12  hey yahova, atal pyar bhi tera hai,+kyonki tu harek ko uske kaamon ke mutabik fal deta hai.+

kai footnote

shabdavli dekhein.
ya shaayad, “tum sab, maano woh ek jhuki hui deevar ho, patthar ki aisi deevar jo bas dhahnevali hai.”
ya “uski garima.”