bhajan 67:1-7
ek sureela geet. nirdeshak ke liye hidayat: yah geet taaronvale baaje bajakar gaaya jaaye.
67 parmeshvar hum par kripa karega aur hamein aasheesh dega,apne mukh ka prakash hum par chamkayega+ (sela )
2 taaki saara jag teri raah ke baare mein jaane,+tu jo uddhaar dilata hai uske baare mein sab raashtra jaanein.+
3 hey parmeshvar, desh-desh ke log teri taareef karein,sabhi deshon ke log teri taareef karein.
4 raashtra aanand manayen aur khushi se jayjaykar karein,+kyonki tu bina tarafdari kiye unka nyay karega.+
tu dharti ke raashtron ko raah dikhayega. (sela )
5 hey parmeshvar, desh-desh ke log teri taareef karein,sabhi deshon ke log teri taareef karein.
6 dharti apni upaj degi,+parmeshvar, hamara parmeshvar hamein aasheesh dega.+
7 parmeshvar hamein aasheesh degaaur dharti ke kone-kone mein rehnevale uska dar maaneinge.*+
kai footnote
^ ya “aadar kareinge.”