bhajan 71:1-24

  • buzurg janon ka bharosa

    • bachpan se parmeshvar par bharosa (5)

    • “jab meri taakat javab de jaaye” (9)

    • ‘bachpan se mujhe sikhata aaya hai’ (17)

71  hey yahova, mainne teri panah li hai. mujhe kabhi sharminda na hona pade.+   tu nek parmeshvar hai, mujhe bacha le, mujhe chhuda le. meri taraf kaan laga* aur mujhe bacha le.+   mere liye aisa kila ban jaa jo chattan par khada ho,jahaan main kabhi-bhi bhaagkar jaa sakoon. mujhe bachane ka hukm de,kyonki tu mere liye badi chattan aur gadh hai.+   hey mere parmeshvar, mujhe dusht ke haath se,+anyay karnevale atyachari ke changul se chhuda le.   kyonki hey saare jahan ke maalik yahova, tu hi meri aasha hai,main bachpan se tujh par bharosa karta aaya hoon.+   janm se main tujh par nirbhar raha hoon,toone hi mujhe maa ki kokh se nikaala.+ main hamesha teri taareef karta hoon.   mere saath jo hua hai woh bahoton ke liye ek karishma hai,magar tu mera mazboot gadh hai.   mere honthon par tere liye taareef-hi-taareef hai,+saara din main tere vaibhav ka bakhan karta hoon.   jab meri umra dhal jaaye to tu mujhe darkinar na kar dena,+jab meri taakat javab de jaaye to mujhe tyag na dena.+ 10  mere dushman mere khilaf bolte hain,jo meri jaan ke peechhe pade hain, woh milkar saazish rachte hain,+ 11  woh kehte hain, “parmeshvar ne use chhod diya hai. use bachanevala koi nahin, uska peechha karo, use pakad lo.”+ 12  hey parmeshvar, tu ab mujhse door na reh. hey mere parmeshvar, meri madad ke liye jaldi aa.+ 13  jo mera virodh karte hain,woh sharminda kiye jaayen, naash ho jaayen.+ jo mujhe barbad karne par tule hain,woh apman aur beizzati se dhak jaayen.+ 14  magar main to teri raah takta rahoonga,main aur bhi zyada teri taareef karoonga. 15  main tere nek kaamon ka bakhan karoonga,+tu jo uddhaar dilata hai uska saara din bakhan karoonga,iske baavjood ki woh itne hain ki unhein samajhna* mere bas mein nahin.+ 16  hey saare jahan ke maalik yahova,main aakaar tere shaktishali kaam bayan karoongaaur teri neki ke baare mein bataunga, haan, sirf teri neki ke baare mein. 17  hey parmeshvar, mere bachpan se tu mujhe sikhata aaya hai+aur main aaj tak tere aashcharya ke kaamon ka ailan kar raha hoon.+ 18  hey parmeshvar, jab main boodha ho jaaun aur mere baal pak jaayen, tab bhi tu mujhe tyag na dena,+ mujhe agli peedhi ko teri shakti* ke baare mein,aanevali nasal ko teri mahashakti ke baare mein sunane ka mauka dena.+ 19  hey parmeshvar, teri neki kitni mahan hai,+hey parmeshvar, toone kya hi bade-bade kaam kiye hain,tera koi saani nahin!+ 20  toone bhale hi mujh par kai museebatein aur vipattiyaan aane di hain+magar ab tu mujhmein nayi jaan foonk de,dharti ki gehraiyon* se mujhe oopar nikaal le.+ 21  meri mahanta aur badha de,mujhe gherkar meri raksha kar aur mujhe dilasa de. 22  tab hey parmeshvar, main teri vafadari ke kaarantaaronvala baaja bajakar teri taareef karoonga,*+ hey israel ke pavitra parmeshvar,main surmandal bajakar teri taareef mein geet gaaunga. 23  mere honth teri taareef mein geet gaayenge, khushi se jayjaykar kareinge,+kyonki toone meri jaan bachayi hai.+ 24  saara din meri jeebh teri neki ka bakhan karegi,*+kyonki jo mujhe naash karne par tule hain, woh sharminda aur beizzat kiye jaayenge.+

kai footnote

ya “jhukkar meri sun.”
ya “ginna.”
shaa., “tere baazoo.”
ya “gehre paani.”
ya “tere liye sangeet bajaunga.”
ya “par manan karegi.”