bhajan 74:1-23

  • prarthna ki parmeshvar apne logon ko yaad kare

    • usne jo uddhaar dilaya use yaad kiya gaya (12-17)

    • ‘dhyan de, dushman kaise taana kaste hain’ (18)

aasap ki rachna.+ mashkeel.* 74  hey parmeshvar, toone kyon hamein sada ke liye thukra diya hai?+ tere charagah ki bhedon par kyon tera krodh bhadka hua hai?*+   un logon* ko yaad kar jinhein toone lambe arse pehale apni jaageer banaya tha,+us gotra ko yaad kar jise toone isliye chhudaya ki woh teri virasat bane.+ siyyon pahad ko yaad kar jahaan tu nivas karta tha.+   un jagahon ki taraf kadam badha jo poori tarah naash ki gayi hain,+ dushman ne pavitra jagah ki har cheez tahas-nahas kar di hai.+   tere bairi teri upasna ki jagah garje.+ vahaan unhonne apne jhande gaad diye.   unhonne aisi tabahi machayi jaise koi ghane jangal mein pedon par kulhadi chalata hai.   unhonne kulhadiyon aur lohe ki salakhon se bhavan ki saari nakkashiyaan+ tod di.   unhonne tere bhavan mein aag laga di.+ jo pavitra dera tere naam se jaana jaata hai use dooshit kar diya, khaak mein mila diya.   unhonne aur unki aulad ne man-hi-man kaha: “is desh mein parmeshvar ki upasna ki saari jagah jala di jaayen.”   hamein koi nishani nazar nahin aati,ek bhi bhavishyavakta nahin raha,hammein se koi nahin jaanta ki aisa kab tak chalta rahega. 10  hey parmeshvar, dushman kab tak tujhe taana maarta rahega?+ kya bairi sada tak tere naam ka anadar karta rahega?+ 11  tu kyon apna daayaan haath roke huye hai?+ apna haath bagal* se nikaal aur unhein khatm kar de. 12  mere parmeshvar, tu muddaton se mera raja hai,tu hi dharti par uddhaar dilata hai.+ 13  toone apni taakat se samundar mein halchal macha di,+samundar ke vishal jeevon ka sir kuchal diya. 14  toone livyatan* ke sir kuchal diye.use registan ke logon ko khaane ke liye de diya. 15  toone paani ke soton aur dhaaraon ke munh khol diye,+sada behti nadiyon ko sukha diya.+ 16  din par bhi tera adhikar hai aur raat par bhi. toone jyoti banayi, haan, sooraj ki rachna ki.+ 17  toone dharti ki saari hadein thehrayin,+sardi aur garmi ka mausam banaya.+ 18  hey yahova, dhyan de ki dushman tujh par kaise taana kaste hain,moorkh kaise tere naam ka anadar karte hain.+ 19  apni faakhte ki jaan jangli jaanvaron ke havale na kar de. apne peedit logon ko hamesha ke liye na bhula de. 20  hamare saath kiya karar yaad kar,kyonki dharti ki andheri jagah darindon ka adda ban gayi hain. 21  kuchle huye nirash hokar na lautein,+deen-dukhi aur gareeb tere naam ki taareef karein.+ 22  hey parmeshvar, uth apne mukadme ki pairvi kar. dhyan de ki moorkh kaise saara din tujh par taana kaste hain.+ 23  tere dushman jo kehte hain use na bhool. tere khilaf uthnevalon ka hohalla aasman tak badhta jaa raha hai.

kai footnote

shabdavli dekhein.
shaa., “ke khilaf tere krodh ki aag ka dhuaan kyon uth raha hai?”
shaa., “apni mandli.”
ya “apne kapde ki tah.”
shabdavli dekhein.