bhajan 78:1-72
aasap ki rachna.+ mashkeel.*
78 mere logo, mera kaanoon* suno,main jo kehta hoon us par kaan lagao.
2 main tumhein neetivachan sunaunga,
purane zamane ki paheliyaan bataunga.+
3 jo baatein hamne suni aur jaani hain,hamare purkhon ne hamein batayi hain,+
4 woh hum unke vanshajon se nahin chhipaayenge.hum aanevali peedhi koyahova ke laajavab kaamon aur uski taakat ke,uske aashcharya ke kaamon ke kisse sunayenge.+
5 usne yakub ko yaad dilane ke liye hidayat di,israel mein ek kaanoon thehraya,hamare purkhon ko aagya diki ye baatein apne bachchon ko batayen+
6 taaki agli peedhi,aanevali nasal in baaton ko jaane.+
fir woh bhi apne bachchon ko ye sab batayenge.+
7 tab agli peedhi ke log parmeshvar par bharosa kareinge.
woh parmeshvar ke kaam nahin bhooleinge+balki uski aagyayen maaneinge.+
8 woh apne purkhon ki tarah nahin baneinge,jinki peedhi hatheeli aur bagavti thi,+unka man daanvandol rehta tha,*+woh parmeshvar ke vishvasyogya nahin rahe.
9 epraimi log teer-kaman se lais the,magar yuddh ke din peeth dikhakar bhaag gaye.
10 unhonne parmeshvar ka karar nahin maana,+uske kaanoon par chalne se inkar kar diya.+
11 woh yah bhi bhool gaye ki usne kya-kya kaam kiye the,+unhein kaise-kaise aashcharya ke kaam dikhaye the.+
12 usne misra desh mein, soan ke ilake mein,+unke purkhon ki aankhon ke saamne laajavab kaam kiye the.+
13 usne samundar ko cheer diya tha ki woh paar kar sakeinpaani ko aise khada kar diya jaise baandh baandha gaya ho.*+
14 woh unhein din mein baadal seaur saari raat aag ki raushni se raasta dikhata.+
15 woh veerane mein chattanon ko cheer deta,unhein samundar jitna bharpoor paani detataaki woh ji-bharkar pi sakein.+
16 usne badi chattan se paani ki dhaarayen nikaalin,woh nadiyon ki tarah behene lagin.+
17 fir bhi, woh veerane mein param-pradhan parmeshvar se bagavat karte rahe,aisa karke woh uske khilaf paap karte rahe.+
18 unhonne us khaane ki maang ki jiski woh zabardast laalsa kar rahe the,aisa karke unhonne apne dil mein parmeshvar ko chunauti di.*+
19 woh parmeshvar ke khilaf kudkudane lage,“kya is veerane mein parmeshvar hamare liye mez laga sakta hai?”+
20 parmeshvar ne hi chattan ko maara thajisse paani ki dhaarayen fut niklin aur nadiyaan umadne lagin!+
fir bhi woh kehne lage, “kya woh hamein roti bhi de sakta hai?
apne logon ko gosht khila sakta hai?”+
21 jab yahova ne yah suna to woh krodh se bhar gaya,+usne yakub par aag barsayi,+woh israel par bhadak utha+
22 kyonki unhonne parmeshvar par vishvas nahin kiya,+yah bharosa nahin kiya ki woh unka uddhaar karne ke kaabil hai.
23 isliye parmeshvar ne baadlon se ghire aasman ko hukm diya,aakash ke dvar khol diye.
24 woh unke khaane ke liye manna barsata raha,usne unhein swarg ka anaj diya.+
25 insanon ne shoorveeron*+ ki roti khaayi,usne itna diya ki woh ji-bharkar khaa sakein.+
26 usne aakash mein poorab ki hava chalayi,apni shakti se dakshin ki tez hava bahayi.+
27 usne un par gosht ki aisi bauchhar ki jaise dher saari dhool ho,beshumar pakshi bheje maano samundar kinare ki baaloo ho.
28 usne pakshiyon ko apni chhaavni ke beechon-beech giraya,apne tambuon ke chaaron or giraya.
29 logon ne gosht khaaya, thoons-thoonskar khaaya,unhonne jo chaha tha usne unhein diya.+
30 magar unka man aur lalchane lagaaur khaana unke munh mein hi tha
31 ki parmeshvar ka krodh un par bhadak utha.+
usne unke taakatvar aadmiyon ko maar daala,+israel ke javanon ko dher kar diya.
32 fir bhi woh aur zyada paap karte rahe,+unhonne uske aashcharya ke kaamon par vishvas nahin kiya.+
33 usne unki zindagi ke din aise khatm kar diye maano saans hon,+achanak khauf failakar unke saal mita diye.
34 magar jab bhi woh unka ghaat karta woh uski khoj karne lagte,+woh firkar parmeshvar ko dhoondhne lagte,
35 yah yaad karke ki parmeshvar unki chattan tha,+param-pradhan parmeshvar unka chhudanevala* tha.+
36 magar unhonne munh se use dhokha dene ki koshish ki,apni jeebh se usse jhooth bola.
37 unka dil uski taraf atal nahin bana raha,+woh uska karar maanne mein vishvasyogya nahin rahe.+
38 magar parmeshvar dayalu tha,+woh unke gunah maaf kar* deta tha, unhein naash nahin karta tha.+
woh aksar apna gussa rok leta tha,+un par saara krodh nahin prakat karta tha.
39 kyonki use dhyan tha ki woh adna insan hain,+hava ka ek jhonka hain jo ek baar bah jaaye to lautta nahin.*
40 kitni hi baar unhonne veerane mein usse bagavat ki,+registan mein use dukh pahunchaya!+
41 unhonne baar-baar parmeshvar ki pareeksha li,+israel ke pavitra parmeshvar ka dil dukhaya.
42 woh uski shakti* bhool gaye,woh din bhool gaye jab usne unhein dushman se chhudaya tha,+
43 kaise usne misra mein chinh dikhaye the,+soan pradesh mein karishme kiye the,
44 kaise usne neel nadi ki nehron ka paani khoon mein badal diya tha+aur woh apni nadiyon se pi na sake the.
45 usne khoon choosnevali makkhiyaan bhejin taaki unhein kaat khaayen+aur meindhak bheje taaki unhein barbad kar dein.+
46 usne unki faslein bhookhi tiddiyon ke havale kar di thi,unki mehnat ka fal dalvali tiddiyon ko de diya.+
47 usne ole barsakar unke angooron ke baag naash kar diye,+goolar ke ped tahas-nahas kar daale.
48 usne unke bojh dhonevale jaanvaron ko olon se naash kar diya,+bijli girakar* unke maveshiyon ko khatm kar diya.
49 usne un par gusse ki aag bhadkayikrodh, jaljalahat aur sankat le aaya,kehar dhaane ke liye swargdooton ke dal bheje.
50 usne apne gusse ke liye raasta banaya,
unhein maut se bachayaaur unhein mahamari ke havale kar diya.
51 aakhir mein usne misra ke sabhi pehalauthon ko maar daala,+haam ke tambuon mein unki shakti* ki pehali nishani mita di.
52 fir woh apne logon ko bhedon ki tarah nikaal laaya,+veerane mein unhein raasta dikhata gaya jaise charvaha jhund ko raasta dikhata hai.
53 woh unhein har khatre se bachata hua le chala,isliye unhein koi dar nahin tha,+samundar unke dushmanon ko nigal gaya.+
54 woh unhein apne pavitra desh le aaya,+is pahadi ilake mein, jo uske daayen haath ne haasil kiya tha.+
55 usne unke saamne se jaatiyon ko khaded diya,+naapne ki dori se virasat ki zameen unmein baant di,+israel ke gotron ko rehne ke liye ghar diya.+
56 magar woh param-pradhan parmeshvar ko chunauti dene* se baaz nahin aaye,usse bagavat karte rahe,+uske yaad dilane par bhi koi dhyan nahin diya.+
57 woh bhi parmeshvar se fir gaye aur apne purkhon ki tarah gaddar nikle,+
dheeli kaman ki tarah bharose ke laayak nahin the.+
58 woh kai unchi jagah banakar use gussa dilate rahe,+apni gadhi hui moorton se use bhadkate rahe.+
59 yah sab dekhkar parmeshvar krodh se bhar gaya,+usne israel ko poori tarah thukra diya.
60 aakhirkar usne sheelo ka pavitra dera+ chhod diya,woh tamboo chhod diya jismein vaas karke woh insanon ke beech rehta tha.+
61 usne apni taakat ki nishani ko bandhuai mein jaane diya,apna vaibhav bairi ke haath mein jaane diya.+
62 usne apne logon ko talvar ke havale kar diya,+woh apni virasat ke khilaf gusse se bhar gaya.
63 uske javanon ko aag ne bhasm kar diya,uski kunvariyon ke liye shaadi ke geet nahin gaaye gaye.
64 uske yaajak talvar se maare gaye,+unki vidhvayen nahin royin.+
65 tab yahova aise utha jaise nind se jaaga ho,+jaise koi soorma+ daakh-madira ke nashe se hosh mein aaya ho.
66 usne apne dushmanon ko vaapas khaded diya,+unhein hamesha ke liye sharminda kar diya.
67 usne yoosuf ka tamboo thukra diya,epraim gotra ko nahin chuna.
68 magar usne yahooda gotra ko chuna,+siyyon pahad ko chuna jo use bahot pyara hai.+
69 usne apne pavitra-sthan ko aasman ki tarah hamesha ke liye kaayam kiya,+dharti ki tarah sada ke liye mazbooti se kaayam kiya.+
70 usne apne sevak daavid ko chuna,+use bhedon ke baade se le aaya.+
71 jo doodh pilati bhedon ki dekhbhal karta tha,use yakub ka, apne logon ka charvaha thehraya,+apni virasat israel ka charvaha thehraya.+
72 daavid ne nirdosh man se unki charvahi ki,+apne kaabil haathon se unki aguvai ki.+
kai footnote
^ ya “meri hidayat.”
^ shaa., “taiyar nahin tha.”
^ ya “jaise deevar khadi ki gayi ho.”
^ shaa., “ki pareeksha li.”
^ ya “swargdooton.”
^ ya “unki taraf se badla lenevala.”
^ shaa., “dhaanp.”
^ ya shaayad, “jeevan-shakti chali jaati hai aur vaapas nahin aati.”
^ shaa., “uska haath.”
^ ya shaayad, “tapte bukhar se.”
^ ya “santan paida karne ki shakti.”
^ shaa., “ki pareeksha lene.”