bhajan 8:1-9
daavid ka sureela geet. gitteet* ke silsile mein nirdeshak ke liye hidayat.
8 hey yahova hamare prabhu, poori dharti par tera naam kya hi gauravshali hai!toone apna vaibhav aasman se bhi unche tak failaya hai!*+
2 toone apne bairiyon ki vajah senanhe-munnon aur doodh-peete bachchon ke munh se+ apni taakat dikhayi haitaaki dushman aur badla lenevale ko khaamosh kar sake.
3 jab main aasman ko niharta hoon jo teri hastkala hai,jab main chaand-sitaron ko dekhta hoon jo teri rachna hain,+
4 to main soch mein pad jaata hoon,‘nashvar insan hai hi kya ki tu uska khayal rakhe?insan hai hi kya ki tu uski parvah kare?’+
5 toone use swargdooton se kuch kamtar banaya,*use mahima aur vaibhav ka taaj pehnaya.
6 use apne haath ki rachnaon par adhikar diya,+sabkuch uske pairon tale kar diya:
7 bhed-bakriyaan, gaay-bail, jangli jaanvar,+
8 aasman ke panchhi, samundar ki machhliyaan,paani mein tairnevale saare jeev.
9 hey yahova hamare prabhu, poori dharti par tera naam kya hi gauravshali hai!
kai footnote
^ ya shaayad, “tere vaibhav ke charche aasman ke oopar hote hain!”
^ ya “use unse kamtar banaya jo ishvar jaise hain.”