bhajan 80:1-19
aasap ka sureela geet.+ nirdeshak ke liye hidayat: “sosan ke foolon” ke mutabik. yaadgar ke liye.
80 hey israel ke charvahe,tu jo yoosuf ko bhedon ke jhund ki tarah raah dikhata hai,+ sun.
tu jo karoobon par* virajman hai,+apni raushni chamka.*
2 epraim, binyameen aur manashshe ke saamneapni mahashakti dikha,+aakaar hamein bacha le.+
3 hey parmeshvar, hamein bahaal kar de,+apne mukh ka prakash hum par chamka taaki hum bachaye jaayen.+
4 senaon ke parmeshvar yahova, tu kab tak apne logon se bhadka rahega?kab tak unki prarthnayen ansuni karta rahega?+
5 tu unhein aansuon ki roti khilata hai,aansuon ka sailab pilata hai.
6 toone aisa kiya ki padosi hamare liye aapas mein ladte hain,hamare dushman hamari hansi udate hain.+
7 hey senaon ke parmeshvar, hamein bahaal kar de,apne mukh ka prakash hum par chamka taaki hum bachaye jaayen.+
8 tu apne logon ko misra se aise nikaal laaya tha jaise woh angoor ki bel hon.+
toone jaatiyon ko khadedkar unki jagah us bel ko lagaya.+
9 toone us bel ke liye jagah saaf ki,bel ne jad pakdi aur poore desh mein fail gayi.+
10 uski chhaaya se pahad dhak gaye,uski shaakhaon se parmeshvar ke devdar dhak gaye.
11 uski shaakhayen door samundar tak fail gayin,tahniyaan mahanadi* tak pahunch gayin.+
12 toone angooron ke baag ke patthar ke baade kyon gira diye?+aane-jaanevale sabhi uske angoor tod lete hain.+
13 jangli sooar use barbad karte hain,maidan ke jangli jaanvar use khaa jaate hain.+
14 hey senaon ke parmeshvar, tujhse binti hai ki laut aa.
swarg se neeche dekh!
is bel ki dekhbhal kar,+
15 is tane* ki, jise toone apne daayen haath se lagaya tha,+us bete* ko dekh jise toone apne liye mazboot kiya tha.+
16 use kaat daala gaya hai, jala diya gaya hai,+
teri daant se woh naash ho jaate hain.
17 tera haath us aadmi ko thaam le jo tere daayin taraf hai,insan ke bete ko thaam le jise toone apne liye mazboot kiya hai.+
18 tab hum tujhse munh na fereinge.
hamein marne se bacha le taaki hum tera naam pukarein.
19 hey senaon ke parmeshvar yahova, hamein bahaal kar de,apne mukh ka prakash hum par chamka taaki hum bachaye jaayen.+
kai footnote
^ ya shaayad, “ke beech.”
^ ya “apna tej dikha.”
^ yaani farat nadi.
^ ya “angoor ki bel ke khaas tane.”
^ ya “shaakha.”