bhajan 81:1-16

  • aagya maanne ka badhava

    • paraye devtaon ki pooja mat karo (9)

    • ‘kaash, tum meri baat sunte’ (13)

aasap ki rachna.+ gitteet* ke silsile mein nirdeshak ke liye hidayat. 81  parmeshvar hamari taakat hai,+ khushi se uski jayjaykar karo. yakub ke parmeshvar ke liye jeet ke naare lagao.   sangeet shuroo karo, dafli bajao,taaronvale baaje ke saath madhur bajnevala surmandal bajao.   naye chaand ke mauke paraur poore chaand ke avsar par, hamare tyohar ke din+ narsinga foonko.+   kyonki yah israel ke liye aadesh hai,yakub ke parmeshvar ka hukm hai.+   jab parmeshvar misra ke khilaf utha,+tab usne yoosuf ke liye use yaad dilanevali hidayat thehrayi.+ mainne ek aavaz* suni magar use pehchana nahin:   “mainne uske kandhe se bojh utaar diya,+uske haathon ko tokri dhone se chhutkara mila.   sankat ke din toone mujhe pukara aur mainne tujhe chhudaya,+garajte baadlon mein* se tujhe javab diya.+ mareeba* ke sote ke paas tujhe parkha.+ (sela )   hey meri praja sun, main tere khilaf gavahi doonga. hey israel kaash! tu meri baat sunta!+   tere beech koi paraya devta nahin hoga,tu doosre desh ke kisi devta ke aage dandvat nahin karega.+ 10  main yahova tera parmeshvar hoon,main tujhe misra se nikaal laaya tha.+ apna munh poora khol, main use bhar doonga.+ 11  magar mere logon ne meri ek na suni,israel mere adheen na raha.+ 12  isliye mainne unhein apne dheeth man ke mutabik chalne ke liye chhod diya.unhonne vahi kiya jo unhein sahi laga.*+ 13  kaash, mere log meri baat sunte!+kaash, israel meri raahon par chalta!+ 14  tab main unke dushmanon ko fauran hara deta,unke bairiyon ko dhool chata deta.+ 15  yahova se nafrat karnevale uske saamne dubak jaayenge,woh hamesha saza bhugatte raheinge. 16  magar tujhe* woh sabse badhiya gehoon khilayega+aur chattan se nikaalnevala shehad khilakar tujhe santusht karega.”+

kai footnote

shabdavli dekhein.
ya “bhasha.”
shaa., “garjan ki gupt jagah.”
matlab “jhagda karna.”
shaa., “woh apni hi saazishon ke mutabik chale.”
shaa., “use” yaani parmeshvar ke logon ko.