bhajan 82:1-8
aasap ka sureela geet.+
82 parmeshvar apni sabha mein khada hota hai,+ishvaron ke beech* woh nyay karta hai+ aur kehta hai,
2 “tum kab tak anyay karte rahoge?+kab tak dushton ki tarafdari karte rahoge?+ (sela )
3 deen-dukhiyon aur anathon* ki pairvi* karo.+
laachar aur besahara logon ko nyay dilao.+
4 deen-dukhiyon aur gareebon ko bachao,unhein dushton ke haathon se chhudao.”
5 ye nyayi na to kuch jaante hain, na kuch samajhte hain,+woh andhkar mein bhatak rahe hain,prithvi ki poori buniyad hilayi jaa rahi hai.+
6 “mainne kaha, ‘tum sab ishvar* ho,+param-pradhan parmeshvar ke bete ho.
7 fir bhi doosre insanon ki tarah tumhari bhi maut hogi,+doosre haakimon ki tarah tum bhi gir jaaoge!’”+
8 hey parmeshvar uth, duniya ka insaf kar,+kyonki sab raashtra tere hain.
kai footnote
^ ya “jo ishvar jaise hain unke beech.”
^ ya “ka nyay.”
^ ya “jinke pita ki maut ho gayi hai.”
^ ya “ishvar jaise.”