bhajan 84:1-12

  • parmeshvar ke mahan dere ke liye tarasna

    • ek levi ki panchhi banne ki chah (3)

    • “tere aanganon mein ek din” (10)

    • ‘parmeshvar sooraj aur dhaal hai’ (11)

korah ke vanshajon ka sureela geet.+ gitteet* ke silsile mein nirdeshak ke liye hidayat. 84  hey senaon ke parmeshvar yahova,tera mahan dera kitna pyara hai!+   mera man yahova ke aanganon mein jaane ke liye taras raha hai,aas lagate-lagate main past ho gaya hoon.+ mera tan aur man khushi se jeevit parmeshvar ki jayjaykar karta hai.   hey senaon ke parmeshvar yahova,mere raja aur mere parmeshvar,dekh! panchhi teri mahan vedi ke paas aashiyana banata hai,ababeel apna ghonsla banati hai,jahaan woh apne bachchon ki dekhbhal karti hai!   sukhi hain woh jo tere bhavan mein nivas karte hain!+ woh lagatar teri taareef karte hain.+ (sela )   sukhi hain woh jo tujhse taakat paate hain,+jinka man tere bhavan ko jaanevali raahon par laga hai.   jab woh baaka ghaati* se hokar guzarte hain,to woh use soton ka ilaka samajhte hainaur shuroo ki baarish use aasheeshon ka odhna odhati hai.*   woh chalte jaate hain, unka damkham badhta hi rehta hai,+har koi siyyon mein parmeshvar ke saamne haazir hota hai.   hey senaon ke parmeshvar yahova, meri prarthna sun,hey yakub ke parmeshvar, meri dua sun. (sela )   hey hamari dhaal+ aur hamare parmeshvar,*apne abhishikt ke chehre par nazar daal.+ 10  kyonki tere aanganon mein ek din bitana, kahin aur hazar din bitane se kahin behtar hai!+ dushton ke tambuon mein nivas karne ke bajayapne parmeshvar ke bhavan ki dehleez par khada rehna mujhe zyada pasand hai. 11  kyonki yahova parmeshvar hamara sooraj+ aur hamari dhaal hai,+woh hum par kripa karta hai, hamara samman badhata hai. jo nirdosh chaal chalte hain,unhein yahova koi bhi achhi cheez dene se peechhe nahin hatega.+ 12  hey senaon ke parmeshvar yahova,sukhi hai woh insan jo tujh par bharosa rakhta hai.+

kai footnote

shabdavli dekhein.
ya shaayad, “shikshak aasheeshon ka odhna odhta hai.”
ya “baaka jhaadiyon ki ghaati.”
ya shaayad, “hey parmeshvar, hamari dhaal dekh.”