bhajan 86:1-17
daavid ki prarthna.
86 hey yahova, meri taraf kaan laga* aur mujhe javab de,kyonki main sataya hua aur gareeb hoon.+
2 meri jaan ki hifazat kar kyonki main vafadar hoon.+
apne sevak ko bacha le jo tujh par bharosa rakhta hai,kyonki tu mera parmeshvar hai.+
3 hey yahova, mujh par kripa kar,+main saara din tujhe pukarta rehta hoon.+
4 apne sevak ko khushiyaan de,kyonki hey yahova, main teri or rukh karta hoon.
5 hey yahova, tu bhala hai+ aur maaf karne ko tatpar rehta hai,+tu un sabke liye atal pyar se bharpoor hai jo tujhe pukarte hain.+
6 hey yahova, meri prarthna sun,meri madad ki pukar par dhyan de.+
7 sankat ke din main tujhe pukarta hoon,+kyonki mujhe poora yakeen hai ki tu javab dega.+
8 hey yahova, ishvaron mein tere samaan koi nahin,+toone jo kaam kiye hain woh bemisal hain.+
9 hey yahova, sab raashtra, jo tere haath ki rachna hain,tere paas aayenge aur tere saamne dandvat kareinge,+tere naam ki mahima kareinge.+
10 kyonki tu mahan hai aur aashcharya ke kaam karta hai,+tu hi akela parmeshvar hai.+
11 hey yahova, mujhe apni raah ke baare mein sikha.+
main teri sachchai ki raah par chaloonga.+
mere man ko ek kar* ki main tere naam ka dar maanoon.+
12 hey yahova, mere parmeshvar, main poore dil se+ teri taareef karta hoonaur sada tak tere naam ki mahima karoonga.
13 kyonki mere liye tera atal pyar mahan hai,toone mujhe kabraa ki gehraiyon mein jaane se bachaya hai.+
14 hey parmeshvar, gustakh log mere khilaf khade huye hain,+bereham aadmiyon ki toli meri jaan ke peechhe padi hai,woh teri bilkul kadar nahin karte.*+
15 magar hey yahova, tu dayalu aur karuna karnevala parmeshvar hai,tu krodh karne mein dheema, atal pyar se bharpoor aur vishvasyogya* hai.+
16 mujh par dhyan de aur kripa kar.+
apne sevak ko taakat de,+apni daasi ke bete ko bacha le.
17 mujhe apni bhalai ka chinh dikha*taaki mujhse nafrat karnevale yah dekhkar sharminda ho jaayen.
kyonki hey yahova, tu mera madadgar hai aur mujhe dilasa denevala hai.
kai footnote
^ ya “jhukkar meri sun.”
^ ya “mujhe aisa dil de jo bata hua na ho.”
^ ya “unhonne tujhe apne saamne nahin rakha.”
^ ya “sachcha.”
^ ya “saboot de.”