bhajan 88:1-18

  • maut se bachaye rakhne ki prarthna

    • ‘main kabraa ki dehleez par hoon’ (3)

    • ‘har subah tujhse prarthna karta hoon’ (13)

korah ke vanshajon ka sureela geet.+nirdeshak ke liye hidayat: yah geet baari-baari se mahlat ki shaili* mein gaaya jaaye. jerah ke vanshaj heman+ ka mashkeel.* 88  hey yahova, mere uddharkarta parmeshvar,+din ko main tujhe pukarta hoon,raat ko bhi main tere saamne aata hoon.+   meri prarthna tere paas pahunche,+meri madad ki pukar par kaan laga.*+   kyonki main peeda se bhara hua hoon,+main kabraa ki dehleez tak pahunch gaya hoon.+   mujhe abhi se unmein gina jaa raha hai jo jald hi gaddhe* mein jaanevale hain,+main bilkul laachar ho gaya hoon,*+   mujhe murdon ke beech chhod diya gaya hai,main unke jaisa ho gaya hoon jo ghaat hokar kabraa mein pade hain,jinhein ab tu yaad nahin karta,jin par ab tera saaya* nahin raha.   toone mujhe gehri khaai mein feink diya hai,us bade athah-kund mein, jahaan andhera hi andhera hai.   tere krodh ke bojh se main daba jaa raha hoon,+toone apni vinashakari lehron se mujhe gher liya hai. (sela )   toone mere jaan-pehchanvalon ko mujhse door bhaga diya hai,+mujhe unki nazar mein ghinauna bana diya hai. main fans gaya hoon, nikaalne ka koi raasta nahin.   peeda se meri aankhein dhundhli pad gayi hain.+ hey yahova, main saara din tujhe pukarta rehta hoon,+haath failakar dua karta hoon. 10  kya tu mare huon ki khaatir karishme karega? kya murde uthkar teri taareef kar sakte hain?+ (sela ) 11  kya kabraa mein tere atal pyar kaaur vinash ki jagah* teri vafadari ka bakhan kiya jaayega? 12  kya tere aashcharya ke kaam, andhkar ki jagahya teri neki agyanta ki jagah jaani jaayegi?+ 13  fir bhi hey yahova, main madad ke liye tujhe pukarta hoon,+har subah apni prarthna tere saamne rakhta hoon.+ 14  hey yahova, tu kyon mujhe thukra deta hai?+ kyon mujhse apna munh fer leta hai?+ 15  bachpan se hi main dukh jhelta aaya hoon, maut se joojhta raha hoon,+tu mujh par bhayanak vipattiyaan aane deta hai,unhein sehte-sehte main bejan ho gaya hoon. 16  tere krodh ki lapton ne mujhe gher liya hai.+tera khauf mujhe khaaye jaa raha hai. 17  tera khauf mujhe saara din samundar ki lehron ki tarah ghere rehta hai,chaaron taraf se* mujh par haavi ho jaata hai. 18  toone mere doston aur saathiyon ko mujhse bahot door bhaga diya hai,+ab andhera hi mera saathi hai.

kai footnote

shabdavli dekhein.
shabdavli dekhein.
ya “jhukkar meri madad ki pukar sun.”
ya “main aise aadmi ki tarah ban gaya hoon jismein taakat nahin hai.”
ya “kabraa.”
shaa., “haath.”
ya “aur abaddon mein.” shabdavli dekhein.
ya shaayad, “achanak.”