bhajan 89:1-52

  • yahova ke atal pyar ke baare mein gaana

    • daavid ke saath karar (3)

    • daavid ka vansh sada bana rahega (4)

    • parmeshvar ka abhishikt jan use “pita” pukarta hai (26)

    • daavid se kiya karar pakka hai (34-37)

    • insan kabraa se bach nahin sakta (48)

jerah ke vanshaj etan+ ki rachna. mashkeel.* 89  yahova ne atal pyar ki vajah se jo upkar kiye hain, main sada unke geet gaaunga. main aanevali sabhi peedhiyon ko bataunga ki tu kitna vishvasyogya hai.   kyonki mainne kaha, “atal pyar sada bana rahega+aur toone swarg mein apni vafadari mazbooti se kaayam ki hai.”   toone kaha hai, “mainne apne chune huye jan ke saath ek karar kiya hai,+apne sevak daavid se shapath khaakaar kaha,+   ‘main tera vansh+ sada tak banaye rakhoongaaur teri raajgaddi peedhi-peedhi tak kaayam rakhoonga.’”+ (sela )   hey yahova, swarg tere laajavab kaamon ki badai karta hai,haan, pavitra janon ki mandli teri vafadari ki taareef karti hai.   kyonki aasman mein aisa kaun hai jo yahova ke samaan ho?+ parmeshvar ke beton+ mein aisa kaun hai jo yahova jaisa ho?   pavitra janon ki sabha mein parmeshvar ki gehri shraddha ki jaati hai,+woh un sabke liye vaibhavshali aur vismaykari hai jo uske chaaron taraf maujood hain.+   hey senaon ke parmeshvar yahova,hey yaah, tere jaisa shaktishali kaun hai?+ tu poori tarah vishvasyogya hai.+   toofani samundar ko tu kaaboo mein rakhta hai,+jab uski lehrein ufanti hain to tu unhein shaant karta hai.+ 10  toone raahab+ ko ghaat kiye huye ki tarah kuchal diya.+ apne taakatvar baazoo se dushmanon ko titar-bitar kar diya.+ 11  aakash tera hai, dharti bhi teri hai,+yah upjaoo zameen aur usmein paayi jaanevali saari cheezen+ toone hi rachi hain. 12  uttar aur dakshin ko toone sirja,taabor+ aur hermon pahad+ khushi-khushi tere naam ki taareef karte hain. 13  tera baazoo shaktishali hai,+tera haath mazboot hai,+tera daayaan haath uncha kiya gaya hai.+ 14  neki aur nyay teri raajgaddi ki buniyad hain.+atal pyar aur vafadari tere saamne haazir rehte hain.+ 15  sukhi hain woh log jo khushi se teri jayjaykar karte hain.+ hey yahova, woh tere mukh ke prakash mein chalte hain. 16  tere naam ke kaaran woh saara din aanand manate hain,teri neki ke zariye woh unche uthaye jaate hain. 17  kyonki tu unki taakat ki shaan hai,+teri manzoori se hamari taakat badhti jaati hai.*+ 18  hamari dhaal yahova ki di hui hai,hamara raja israel ke pavitra parmeshvar ka thehraya hua hai.+ 19  us vakt toone ek darshan mein apne vafadar janon se kaha tha, “mainne ek shoorveer ko taakat di hai,+mainne logon mein se ek chune huye jan ko uncha uthaya hai.+ 20  mainne apne sevak daavid ko paaya,+apne pavitra tel se uska abhishek kiya.+ 21  mera haath use thaame rahega,+mere baazoo use mazboot kareinge. 22  koi bhi dushman usse kar nahin vasoolega,koi dusht use nahin satayega.+ 23  main uske saamne uske dushmanon ko kuchal doonga,+usse nafrat karnevalon ko maar daaloonga.+ 24  mera atal pyar aur meri vafadari uske saath hai,+mere naam ke kaaran uski taakat badhti jaayegi.* 25  main samundar ko uske haath ke neeche* kar doonga,nadiyon ko uske daayen haath ke neeche kar doonga.+ 26  woh pukarkar mujhse kahega, ‘tu mera pita hai,mera parmeshvar aur mere uddhaar ki chattan hai.’+ 27  main use apna pehalautha maanoonga,+dharti ke sabhi raajaon se mahan karoonga.+ 28  main usse sada pyar* karta rahoonga,+uske saath kiya mera karar kabhi nahin tootega.+ 29  main uska vansh sada tak banaye rakhoonga,uski raajgaddi swarg ki tarah hamesha kaayam rakhoonga.+ 30  agar uske bete mera kaanoon maanna chhod dein,mere aadeshon* ke mutabik na chalein, 31  agar woh meri vidhiyon ke khilaf jaayenaur meri aagyayen na maanein, 32  to main unki bagavat ki vajah se unhein chhadi se maaroonga,+unke gunah ki vajah se unhein kode lagaunga. 33  magar main usse pyar* karna kabhi nahin chhodoonga,+na hi apne vaade se mukarkar jhootha saabit hounga.* 34  main apna karar nahin todoonga,+na hi apni zaban badloonga.+ 35  apni pavitrata ki shapath khaakaar jab mainne daavid se ek baar keh diya,to main usse kabhi jhooth nahin boloonga.+ 36  uska vansh* sada bana rahega,+uski raajgaddi mere saamne sooraj ki tarah sada kaayam rahegi.+ 37  woh chaand ki tarah sada tak mazbooti se kaayam rahegi,jo aasman mein ek vishvasyogya gavah jaisa hai.” (sela ) 38  magar toone apne abhishikt jan ko apni nazron se door kar diya, use thukra diya,+tere gusse ki jaljalahat us par bhadki hui hai. 39  toone apne sevak ke saath kiye karar ko tuchh samjha,uska taaj zameen par patakkar dooshit kar diya. 40  toone uski patthar ki saari deevarein* dhaa di,uske gadh dhaakaar khandhar bana diye. 41  uske paas se guzarnevalon ne use loot liya,uske padosi use badnam karte hain.+ 42  toone uske bairiyon ko jeet dilayi,*+uske sabhi dushmanon ko khushiyaan manane ka mauka diya. 43  toone uski talvar ka virodh kiya,toone yuddh mein uske pair jamne nahin diye. 44  toone uski shaano-shaukat mita di,uski raajgaddi zameen par patak di. 45  toone us par vakt se pehale hi budhapa aane diya,toone use sharm se dhaanp diya. (sela ) 46  hey yahova, tu kab tak apna munh fere rahega? kya sada ke liye?+ kya tere krodh ki aag isi tarah bhadakti rahegi? 47  dhyan de ki meri zindagi kitni chhoti hai!+ kya toone sab insanon ko bina maksad ke racha tha? 48  kya koi aisa insan hai jo kabhi maut na dekhe?+ kya woh kabraa ki giraft se khud ko bacha sakta hai? (sela ) 49  hey yahova, toone atal pyar ki vajah se guzre dinon mein jo kaam kiye the woh kahaan gaye,jinke baare mein toone apni vafadari ki vajah se daavid se shapath khaayi thi?+ 50  hey yahova, dhyan de ki tere sevkon par kaise taane kase jaate hain,kaise mujhe sabhi deshon ke logon ke taane sehne* padte hain, 51  hey yahova dekh, kaise tere dushmanon ne tere abhishikt jan ki beizzati ki hai,kaise unhonne uske har kaam ki ninda ki hai. 52  yahova ki sada taareef hoti rahe. aameen. aameen.+

kai footnote

shabdavli dekhein.
shaa., “hamara sing uncha kiya jaata hai.”
shaa., “uska sing uncha kiya jaayega.”
ya “adhikar mein.”
ya “atal pyar.”
ya “nyay-siddhaanton.”
shaa., “na hi vishvasyogya rehna chhodkar jhootha thehroonga.”
ya “atal pyar.”
shaa., “beej.”
ya “uske patthar ke sharan-sthanon.”
shaa., “ka daayaan haath oopar uthaya.”
shaa., “taane apni god mein liye rehne.”