bhajan 9:1-20
daavid ka sureela geet. moot-labben* ke silsile mein nirdeshak ke liye hidayat.
א [aalef ]
9 hey yahova, main poore dil se teri taareef karoonga,tere sabhi aashcharya ke kaamon ka bakhan karoonga.+
2 main tere kaaran magan hounga, khushiyaan manaunga,hey param-pradhan parmeshvar, main tere naam ki taareef mein geet gaaunga.*+
ב [beth ]
3 jab mere dushman bhaageinge,+to woh tere saamne ladkhadakar gir padeinge aur mit jaayenge.
4 kyonki tu meri pairvi karke mujhe nyay dilata hai,apni raajgaddi par baithkar neki se nyay karta hai.+
ג [gimel ]
5 toone raashtron ko daant lagayi+ aur dushton ka naash kiya,unka naam hamesha ke liye mita diya.
6 dushman hamesha ke liye tabah ho gaye,toone unke shehar ukhaad feinke hain,unhein kabhi yaad tak nahin kiya jaayega.+
ה [hey ]
7 magar yahova sada virajman rahega,+usne nyay ke liye apni raajgaddi mazbooti se kaayam ki hai.+
8 woh saare jagat* ka nyay neki se karega,+raashtron ke mukadmon ka sahi faisla sunayega.+
ו [vaav ]
9 yahova, sataye jaanevalon ke liye uncha gadh ban jaayega,+museebat ki ghadi mein uncha gadh ban jaayega.+
10 tera naam jaannevale tujh par bharosa rakheinge,+hey yahova, jo teri khoj karte hain, unhein tu kabhi nahin chhodega.+
ז [jain ]
11 yahova, jo siyyon mein nivas karta hai, uski taareef mein geet gaao,uske kaamon ke baare mein desh-desh ke logon ko batao.+
12 kyonki khoon ka badla lenevala parmeshvar unhein yaad rakhta hai,+woh peediton ki pukar nahin bhoolega.+
ח [heth ]
13 hey yahova, mujh par kripa kar,tu jo mujhe maut ke faatkon se uthata hai,+mere dukh par dhyan de jo dushman mujhe de rahe hain
14 taaki main siyyon ki beti ke faatkon ke paastere un kaamon ka ailan karoon jo taareef ke kaabil hain,+tu jo uddhaar dilata hai usse magan houn.+
ט [teth ]
15 raashtron ne jo gaddha khoda tha usmein woh khud gir pade,unhonne jo jaal bichhaya tha usmein unhin ke pair fans gaye.+
16 yahova jo saza deta hai, woh dikhata hai ki woh kaisa parmeshvar hai.+
dusht ki kaarastani usi ke liye fanda ban gayi hai.+
higgayon.* (sela )
י [yodh ]
17 dusht kabraa mein laut jaayenge,parmeshvar ko bhoolnevale sab raashtra vahin jaayenge.
18 magar gareeb hamesha bhulaye nahin jaayenge,+na hi deenon ki aasha par paani firega.+
כ [kaaf ]
19 hey yahova, uth! nashvar insan ka zor chalne na de.
teri maujoodgi mein raashtron ko saza mile.+
20 hey yahova, raashtron mein khauf sama de,+woh sirf nashvar insan hain, yah unhein jata de. (sela )