daaniyel 10:1-21
10 faaras ke raja kusroo ke raaj ke teesre saal+ mujh daaniyel ko, jo beltashassar kehlata tha,+ ek sandesh mila. woh sandesh sachcha tha aur ek badi ladai ke baare mein tha. daaniyel ne us sandesh ko samajh liya aur usne jo dekha tha, uske baare mein use samajh di gayi.
2 un dinon main daaniyel teen hafte se maatam mana raha tha.+
3 mainne teen hafton se na to badhiya-badhiya pakvan aur gosht khaaya, na hi daakh-madira ko munh lagaya aur mainne shareer par tel bhi nahin mal.
4 pehale maheene ke 24vein din, jab main mahanadi tigris*+ ke kinare tha,
5 tab mainne nazrein uthayin to ek aadmi ko dekha jo malmal ki poshak pehne huye tha+ aur uski kamar par oofaz ke sone ka bana kamarband tha.
6 uska shareer karketak ratna ki tarah tha,+ chehra bijli ki tarah chamak raha tha, aankhein jalti mashalon ki tarah thi, uski baanhein aur pair chamchamate tambe jaise dikh rahe the+ aur uski aavaz bheed ki aavaz jaisi buland thi.
7 woh darshan sirf mainne dekha, jo aadmi mere saath the unhonne nahin dekha.+ fir bhi woh thar-thar kaanpne lage aur bhaagkar kahin chhip gaye.
8 fir main akela reh gaya aur jab mainne yah anokha darshan dekha to bilkul bejan-saa ho gaya, laachar aur mariyal-saa ho gaya* aur mujhmein taakat nahin rahi.+
9 fir mainne us aadmi ko bolte huye suna, magar jab woh bol raha tha to main munh ke bal zameen par gir gaya aur gehri nind so gaya.+
10 magar fir kisi ke haath ne mujhe chhua+ aur mujhe hilaya taaki main jaag jaaun aur haathon aur ghutnon ke bal khada ho jaaun.
11 fir usne mujhse kaha,
“hey daaniyel, tu jo parmeshvar ke liye bahot anmol hai,*+ main tujhe jo batane jaa raha hoon us par dhyan de. tu jahaan khada tha vahaan khada ho jaa kyonki mujhe tere paas bheja gaya hai.”
jab usne aisa kaha to main khada ho gaya aur kaanpta raha.
12 fir usne mujhse kaha, “hey daaniyel, tu mat dar.+ jis din toone in baaton ko samajhne ke liye man lagaya aur apne parmeshvar ke saamne khud ko namra kiya, usi din se teri prarthna suni gayi aur isi vajah se main tere paas aaya hoon.+
13 magar faaras raajya ka haakim+ 21 din tak mera virodh karta raha. fir meekael,*+ jo sabse bade haakimon mein se hai,* meri madad karne aaya aur main faaras ke raajaon ke paas khada raha.
14 main tujhe yah samjhane aaya hoon ki aakhiri dinon mein tere logon par kya beetegi+ kyonki yah darshan bhavishya mein poora hoga.”+
15 jab usne mujhse ye baatein kahin to mainne zameen ki taraf munh kiya aur mujhse kuch bolte na bana.
16 fir jo aadmi jaisa dikh raha tha, usne mere honth chhuye+ aur tab main bolne laga. mere saamne jo khada tha usse mainne kaha, “mere maalik, darshan ki vajah se main kaanp raha hoon, mujhmein zara bhi taakat nahin hai.+
17 isliye maalik, tera yah sevak tujhse kaise baat kar sakta hai?+ mujhmein zara bhi taakat nahin hai, bilkul bhi jaan nahin hai.”+
18 fir jo aadmi jaisa dikh raha tha, usne mujhe dobara chhua aur meri himmat bandhayi.+
19 usne mujhse kaha, “hey daaniyel, tu jo parmeshvar ke liye bahot anmol hai,*+ mat dar.+ tera bhala ho.+ himmat rakh, haan, himmat rakh.” jab usne aisa kaha to mujhe himmat mili aur mainne kaha, “mere maalik, ab tu bol kyonki toone meri himmat bandhayi hai.”
20 fir usne mujhse kaha, “kya tu jaanta hai ki main tere paas kyon aaya hoon? ab main vaapas jaakaar faaras ke haakim se yuddh karoonga.+ jab main jaaunga to yoonan ka haakim aayega.
21 fir bhi main tujhe woh baatein bataunga jo sachchai ki kitab mein likhi hain. tere haakim meekael+ ke siva koi aur in baaton mein mera poora saath nahin de raha hai.+
kai footnote
^ shaa., “hiddekel.”
^ ya “apni garima kho baitha.”
^ ya “bahot pyara hai; tu jiska bahot maan hai.”
^ ya “sabse unche darje ka haakim hai.”
^ matlab “parmeshvar jaisa kaun hai?”
^ ya “bahot pyara hai; tu jiska bahot maan hai.”