daaniyel 12:1-13
12 us samay ke dauran meekael*+ khada hoga, woh bada haakim+ jo tere logon* ki taraf se khada hai. aur sankat ka aisa samay aayega jaisa ek raashtra ke banne se lekar us samay tak nahin aaya hoga. us samay ke dauran tere log bach jaayenge,+ har koi jiska naam kitab mein likha hai bach jaayega.+
2 aur jo mitti mein mil gaye hain aur maut ki nind so rahe hain, unmein se kai log jaag utheinge, kuch hamesha ki zindagi ke liye to kuch badnami aur hamesha ka apman sehne ke liye.
3 jinmein androoni samajh hai woh aasman ki tarah tez chamkeinge aur jo bahoton ko neki ki raah par laate hain woh taaron ki tarah hamesha-hamesha tak chamakte raheinge.
4 aur hey daaniyel, tu is kitab ko muharband kar de aur ant ke samay tak iski baaton ko raaz rakh.+ bahot-se log dhoondh-dhaandh kareinge* aur sachcha gyaan bahot badh jaayega.”+
5 fir mujh daaniyel ko vahaan do swargdoot dikhayi diye, ek nadi ke is kinare khada tha aur doosra us kinare.+
6 tab ek swargdoot ne us aadmi se, jo malmal ki poshak pehne tha+ aur nadi ke oopar tha, poochha, “ye anokhi baatein kab jaakaar poori hongi?”
7 tab mainne us aadmi ko bolte suna, jo malmal ki poshak pehne tha aur nadi ke oopar tha. usne apna daayaan aur baayaan haath swarg ki taraf uthaya aur yug-yug tak jeenevale parmeshvar ki shapath khaakaar kaha,+ “ye baatein thehraye huye ek kaal, do kaal aur aadhe kaal* ke liye hongi. jaise hi pavitra logon ki taakat ka choor-choor karna khatm ho jaayega,+ ye saari baatein poori ho jaayengi.”
8 mainne ye saari baatein sunin, magar main samajh nahin paaya.+ isliye mainne poochha, “maalik, in saari baaton ka kya nateeja hoga?”
9 usne kaha, “hey daaniyel, tu jaa kyonki ye baatein ant ke samay tak raaz rakhi gayi hain aur in par muhar lagayi gayi hai.+
10 bahot-se log khud ko saaf aur ujla kareinge aur unhein shuddh kiya jaayega.+ dusht log dushtata kareinge aur koi bhi dusht nahin samajh paayega, magar androoni samajh rakhnevale samajh jaayenge.+
11 jis samay niyamit baliyaan+ band kar di gayin aur ujaadnevali ghinauni cheez khadi ki gayi,+ tab se 1,290 din guzreinge.
12 sukhi hai woh insan jo 1,335 dinon ke beetne tak ummeed lagaye rehta hai!*
13 magar jahaan tak teri baat hai, tu aakhir tak mazboot bana reh. tu aaram karega magar fir vakt aane par apna hissa paane ke liye* uth khada hoga.”+
kai footnote
^ matlab “parmeshvar jaisa kaun hai?”
^ shaa., “tere logon ke beton.”
^ ya “use [yaani kitab ko] achhi tarah jaancheinge.”
^ yaani saadhe teen kaal.
^ ya “ka besabrai se intazar karta hai.”
^ ya “apni thehrayi jagah par.”