daaniyel 3:1-30

  • raja nabookadnessar ki sone ki moorat (1-7)

    • moorat ki upasna karne ki maang (4-6)

  • 3 ibriyon par aagya todne ka dosh (8-18)

    • ‘hum tere devtaon ki seva nahin kareinge’ (18)

  • aag ki bhatthi mein feinka gaya (19-23)

  • chamatkari tareeke se bachaya gaya (24-27)

  • raja ne unke parmeshvar ki badai ki (28-30)

3  raja nabookadnessar ne sone ki ek moorat banvayi jiski unchai 60 haath* aur chaudai 6 haath* thi. usne yah moorat baibilon ke praant* mein doora naam ke maidan mein khadi karayi.  fir raja nabookadnessar ne soobedaron, prashasakon, raajyapalon, salahkaron , khazanchiyon, nyayiyon, nagar-adhikariyon aur alag-alag praanton* ke sabhi adhikariyon ko khabar bheji ki woh uski khadi karayi moorat ke udghatan par aayen.  isliye soobedar, prashasak, raajyapal, salahkar, khazanchi, nyayi, nagar-adhikari aur alag-alag praanton* ke sabhi adhikari raja nabookadnessar ki khadi karayi moorat ke udghatan par haazir huye. woh sabhi us moorat ke saamne khade ho gaye.  tab sandesh ailan karnevale ne zor-zor se ailan kiya, “alag-alag raashtron aur bhaashaon ke logo, suno. tum sabko yah hukm diya jaata hai  ki jab tum narsinge, baansuri, surmandal, chhote surmandal, taaronvale baaje, mashkabeen aur baaki sabhi saazon ki aavaz sunoge, to tum sab girkar sone ki us moorat ki pooja karoge jo raja nabookadnessar ne khadi karayi hai.  jo koi girkar uski pooja nahin karega, use fauran dhadhakte bhatthe mein feink diya jaayega.”+  isliye jab narsinge, baansuri, surmandal, chhote surmandal, taaronvale baaje aur baaki sabhi saazon ki aavaz sunayi padi, to sab raashtron aur bhaashaon ke logon ne girkar sone ki us moorat ki pooja ki jo raja nabookadnessar ne khadi karayi thi.  us samay kuch kasdi log raja ke paas aaye aur yahoodiyon par ilzam lagane lage.*  woh raja nabookadnessar se kehne lage, “hey raja, tu yug-yug jeeye. 10  hey raja, toone hukm diya tha ki har woh insan jo narsinge, baansuri, surmandal, chhote surmandal, taaronvale baaje, mashkabeen aur baaki sabhi saazon ki aavaz sunta hai woh girkar sone ki moorat ki pooja kare 11  aur jo koi aisa nahin karega use dhadhakte bhatthe mein feink diya jaayega.+ 12  fir bhi hey raja, teen yahoodi aadmiyon ne teri bilkul izzat nahin ki. woh shadrak, meshak, abednago hain jinhein toone baibilon ke praant* ke prashasan ka zimma saunpa hai.+ woh tere devtaon ki seva nahin karte aur unhonne teri khadi karayi sone ki moorat ko poojne se inkar kar diya hai.” 13  yah sunkar nabookadnessar krodh aur jaljalahat se bhar gaya aur usne hukm diya ki shadrak, meshak aur abednago ko uske saamne pesh kiya jaaye. tab un aadmiyon ko raja ke saamne laaya gaya. 14  nabookadnessar ne unse kaha, “shadrak, meshak aur abednago, kya yah sach hai ki tum log mere devtaon ki seva nahin karte+ aur tumne meri khadi karayi sone ki moorat ko poojne se inkar kar diya hai? 15  ab suno, jab tumhein narsinge, baansuri, surmandal, chhote surmandal, taaronvale baaje, mashkabeen aur baaki sabhi saazon ki aavaz sunayi pade, tab tum agar girkar meri banayi moorat ko poojne ke liye taiyar ho jaaoge to behtar hoga. lekin agar tum use poojne se inkar karoge to tumhein fauran dhadhakte bhatthe mein feink diya jaayega. aisa kaun-saa devta hai jo tumhein mere haath se chhuda sakta hai?”+ 16  shadrak, meshak aur abednago ne raja se kaha, “hey raja nabookadnessar, hamein is baare mein kuch aur nahin kehna. 17  agar hamein aag ke bhatthe mein feink diya jaana hai, to yahi sahi. hamara parmeshvar, jiski hum seva karte hain, hamein us bhatthe se aur tere haath se chhudane ki taakat rakhta hai.+ 18  lekin agar woh hamein nahin chhudata, to bhi hey raja, hum na tere devtaon ki seva kareinge, na hi teri khadi karayi moorat ki pooja kareinge.”+ 19  tab nabookadnessar shadrak, meshak aur abednago par bhadak utha aur uske chehre ka bhaav badal gaya.* usne hukm diya ki bhatthe ko saat guna aur tez kiya jaaye. 20  usne apni sena ke kuch taakatvar aadmiyon ko hukm diya ki woh shadrak, meshak aur abednago ko baandhkar dhadhakte bhatthe mein feink dein. 21  tab un teenon aadmiyon ko unke chogon, topiyon aur doosre kapdon samet baandha gaya aur dhadhakte bhatthe mein feink diya gaya. 22  raja ka hukm itna sakht tha aur bhatthe ko itna zyada tez kiya gaya tha ki jo aadmi shadrak, meshak aur abednago ko bhatthe ki taraf lekar gaye woh aag ki lapton se jhulaskar mar gaye. 23  magar shadrak, meshak aur abednago, jo bandhe huye the, dhadhakte bhatthe mein gir gaye. 24  fir raja nabookadnessar bahot dar gaya aur fauran uthkar apne bade-bade adhikariyon se kehne laga, “kya hamne teen aadmiyon ko baandhkar aag mein nahin feinka tha?” unhonne kaha, “haan raja.” 25  usne kaha, “magar dekho! mujhe to chaar aadmi aag mein khule ghoomte nazar aa rahe hain aur unhein kuch bhi nahin hua hai! aur chautha aadmi koi devta lag raha hai.” 26  nabookadnessar dhadhakte bhatthe ke dvar par gaya aur usne kaha, “shadrak, meshak aur abednago, param-pradhan parmeshvar ke sevko,+ baahar niklo, idhar aao!” shadrak, meshak aur abednago aag mein se baahar nikaal aaye. 27  vahaan jama huye soobedaron, prashasakon, raajyapalon aur raja ke bade-bade adhikariyon+ ne dekha ki un teenon aadmiyon ko aag se kuch nahin hua hai,+ unka ek bhi baal nahin jhulsa hai aur na hi unke kapde jale hain. unse jalne ki boo tak nahin aa rahi. 28  tab nabookadnessar ne ailan kiya, “shadrak, meshak aur abednago ke parmeshvar ki taareef ho,+ jisne apne swargdoot ko bhejkar apne sevkon ko bachaya. inhonne us par bharosa kiya aur raja ka hukm nahin maana. apne parmeshvar ko chhod kisi aur devta ki seva karne aur use poojne ke bajay unhein marna manzoor tha.*+ 29  isliye main aadesh deta hoon ki agar kisi raashtra ya bhasha ke logon ne shadrak, meshak aur abednago ke parmeshvar ke khilaf kuch kaha, to unke tukde-tukde kar diye jaayen aur unke ghar aam logon ke liye shauchalay* bana diye jaayen, kyonki aisa koi devta nahin jo is parmeshvar ki tarah chhudane ki taakat rakhta ho.”+ 30  fir raja ne baibilon ke praant* mein shadrak, meshak aur abednago ko uncha ohda diya.+

kai footnote

kareeb 27 mi. (88 fut). ati. kha14 dekhein.
kareeb 2.7 mi. (8.8 fut). ati. kha14 dekhein.
ya “zila adhikar-shetra.”
ya “zila adhikar-shetron.”
ya “zila adhikar-shetron.”
ya “ko badnam karne lage.”
ya “zila adhikar-shetra.”
ya “uska ravaiya poori tarah badal gaya.”
ya “unhonne apna shareer arpit kar diya.”
ya shaayad, “koode ki jagah; goo-gobar ka dher.”
ya “zila adhikar-shetra.”