daaniyel 4:1-37

  • raja nabookadnessar ne kabool kiya ki parmeshvar hi raja hai (1-3)

  • usne ek ped ka sapna dekha (4-18)

    • ped saat kaal tak gira pada rahega (16)

    • parmeshvar insanon ka raja hai (17)

  • daaniyel ne sapne ka matlab bataya (19-27)

  • sapna pehale raja par poora hua (28-36)

    • raja saat kaal tak paagal (32, 33)

  • usne swarg ke parmeshvar ki mahima ki (37)

4  “poori dharti par rehnevale sabhi raashtron aur bhaashaon ke logon ko raja nabookadnessar ka yah sandesh hai: tumhara sukh-chain badhta rahe!  mujhe yah batane mein khushi ho rahi hai ki param-pradhan parmeshvar ne mujhe kya-kya chinh aur ajoobe dikhaye hain.  vaakai uske chinh kya hi shaandar hain aur uske ajoobe uski laajavab taakat ka saboot dete hain! uska raaj sada kaayam rehnevala raaj hai aur uska raaj peedhi-dar-peedhi bana rehta hai.+  main nabookadnessar apne mahal mein chain se ji raha tha, ek khushhal zindagi bita raha tha.  mainne ek sapna dekha jisse main bahot ghabra gaya. jab main bistar par leta tha tab mujhe aise drishya aur darshan dikhayi diye ki main bahot dar gaya.+  isliye mainne hukm diya ki baibilon ke sabhi gyaaniyon ko mere saamne pesh kiya jaaye taaki woh mere sapne ka matlab batayen.+  tab jaadoo-tona karnevale pujari, taantrik, kasdi* aur jyotishi+ mere saamne aaye. mainne unhein apna sapna bataya, magar woh uska matlab nahin bata sake.+  aakhir mein mere saamne daaniyel aaya. uska naam mere devta ke naam par beltashassar rakha gaya tha+ aur usmein pavitra ishvaron ki shakti hai.+ mainne use apna sapna bataya:  ‘hey beltashassar, jaadoo-tona karnevale pujariyon ke pradhan,+ main achhi tarah jaanta hoon ki tujhmein pavitra ishvaron ki shakti hai+ aur tere liye koi bhi rehasya kholna mushkil nahin hai.+ isliye mujhe bata ki mainne sapne mein jo-jo dekha uska kya matlab hai. 10  mujhe bistar par lete jo darshan mile unmein mainne dekha ki dharti ke beechon-beech ek ped hai+ jo bahot uncha aur vishal hai.+ 11  ped bada hokar bahot mazboot ho gaya, uski unchai aasman chhoo rahi thi aur woh dharti ke chhor se bhi nazar aata tha. 12  uske patte aur daaliyaan bahot sundar the, woh falon se lada hua tha aur usse sabke liye khaana milta tha. uski chhaanv tale maidan ke jaanvar rehte the, daaliyon par aakash ke panchhi basera karte the aur dharti ke sabhi praniyon ko usse khaana milta tha. 13  mainne bistar par lete darshan mein aage dekha ki ek pehredar, ek pavitra doot swarg se utar raha hai.+ 14  usne buland aavaz mein kaha, “is ped ko kaat daalo,+ iski daaliyaan kaat do, patte jhaad do aur fal bikhra do! iske neeche se jaanvar bhaag jaayen aur daaliyon se panchhi ud jaayen. 15  magar iske thoonth ko jadon samet zameen mein hi rehne do. aur thoonth ko lohe aur tambe ke ek bandhan se baandhkar maidan mein ghaas ke beech chhod do. yah aakash ki os se bheega kare aur jaanvaron ke saath rahe.+ 16  iska man badal jaaye, insan ka na rehkar jaanvar ka man ho jaaye aur saat kaal+ beetein.+ 17  pehredaron+ ne yahi aadesh sunaya hai aur pavitra dooton ne is faisle ka ailan kiya hai taaki dharti par jeenevale sab log jaan jaayen ki insani raajyon par param-pradhan parmeshvar ka raaj hai+ aur woh jise chahe uske haath mein raaj deta hai, woh chhote-se-chhote insan ko bhi raaj karne ke liye thehrata hai.” 18  yahi woh sapna tha jo mainne, raja nabookadnessar ne dekha. ab hey beltashassar, tu iska matlab bata kyonki mere raajya ke baaki gyaaniyon mein se koi bhi iska matlab nahin bata paaya hai.+ magar tu bata sakta hai kyonki tujhmein pavitra ishvaron ki shakti hai.’ 19  tab daaniyel, jiska naam beltashassar hai,+ ek pal ke liye bilkul sunna ho gaya aur kuch sochkar ghabrane laga. raja ne kaha, ‘hey beltashassar, tu sapne aur uske matlab ke baare mein sochkar mat ghabra.’ beltashassar ne kaha, ‘hey mere maalik, yah sapna un par poora ho jo tujhse nafrat karte hain aur iska matlab tere dushmanon par laagoo ho. 20  jo ped toone dekha tha, jo bahot badh gaya aur mazboot ho gaya tha, jiski unchai aasman chhoo rahi thi aur poori dharti se nazar aati thi,+ 21  jiske patte bahot sundar the, jo falon se lada hua tha, jisse sabko khaana milta tha, jiske neeche maidan ke jaanvar rehte the aur daaliyon par aakash ke panchhi basera karte the,+ 22  woh ped tu hi hai kyonki hey raja, tu bahot mahan aur taakatvar ho gaya hai aur tera vaibhav aasman tak pahunch gaya hai+ aur tera raaj dharti ke kone-kone tak fail gaya hai.+ 23  aur raja ne ek pehredar ko, ek pavitra doot+ ko swarg se utarte dekha jo keh raha tha, “is ped ko kaat daalo aur ise naash kar do. magar iske thoonth ko jadon samet zameen mein hi rehne do aur thoonth ko lohe aur tambe ke ek bandhan se baandhkar maidan ki ghaas ke beech rehne do. yah aakash ki os se bheega kare aur tab tak maidan ke jaanvaron ke saath rahe jab tak ki saat kaal na beet jaayen.”+ 24  hey raja, ab sun ki iska matlab kya hai. yah param-pradhan ka faisla hai jo mere maalik raja par beetna tay hai. 25  tujhe insanon ke beech se khaded diya jaayega aur tu maidan ke jaanvaron ke saath raha karega. tu bailon ki tarah ghaas-patte khaayega. tu aakash ki os se bheega karega+ aur tujh par saat kaal+ beeteinge.+ tab jaakaar tu jaan jaayega ki insani raajyon par param-pradhan parmeshvar ka raaj hai aur woh jise chahe uske haath mein raaj deta hai.+ 26  magar unhonne yah bhi kaha ki thoonth ko jadon samet chhod diya jaaye.+ iska matlab yah hai: jab tu jaan lega ki swarg mein koi hai jo raaj karta hai* to tera raaj tujhe lauta diya jaayega. 27  isliye hey raja, meharbani karke meri yah salah maan. apne paapon se firkar sahi kaam kar aur dusht kaam chhodkar gareebon par daya kar. ho sakta hai teri khushhali ke din aur badha diye jaayen.’”+ 28  ye saari baatein raja nabookadnessar par ghatin. 29  baarah maheene baad jab raja baibilon mein apne raajmahal ki chhat par tahal raha tha, 30  tab woh kehne laga, “kya yah mahanagri baibilon nahin jise mainne apne bal se, apni taakat se banaya hai taaki yah raaj-nivas ho aur isse mera pratap aur aishvarya badhe?” 31  raja apni baat poori kar bhi nahin paaya tha ki aakash se ek aavaz sunayi di: “hey raja nabookadnessar, tere liye yah sandesh hai, ‘raaj tere haath se le liya gaya hai+ 32  aur tujhe insanon ke beech se khaded diya jaayega. tu maidan ke jaanvaron ke saath rahega aur bailon ki tarah ghaas-patte khaayega aur tujh par saat kaal guzreinge. tab jaakaar tu jaan jaayega ki insani raajyon par param-pradhan parmeshvar ka raaj hai aur woh jise chahe uske haath mein raaj deta hai.’”+ 33  usi pal yah baat nabookadnessar par poori ho gayi. use insanon ke beech se khaded diya gaya aur woh bailon ki tarah ghaas-patte khaane laga. uska shareer aakash ki os se bheegta raha. uske baal ukabon ke pankhon jaise lambe ho gaye aur naakhoon pakshiyon ke changulon jaise ho gaye.+ 34  “us samay ke aakhir mein+ mainne, nabookadnessar ne oopar swarg ki or dekha aur mera dimag durust ho gaya aur mainne param-pradhan parmeshvar ki taareef ki, sada tak rehnevale parmeshvar ki taareef aur mahima ki, kyonki uska raaj sada kaayam rehnevala raaj hai aur uska raaj peedhi-dar-peedhi bana rehta hai.+ 35  uske saamne dharti ke nivasi kuch bhi nahin hain. woh aakash ki sena aur dharti ke nivasiyon ke saath vahi karta hai jo uski marzee ke mutabik hai. use koi rok nahin sakta,*+ na hi usse keh sakta hai, ‘yah toone kya kiya?’+ 36  us vakt mera dimag durust ho gaya aur mere raaj ka pratap, mera vaibhav aur meri shaan mujhe lauta di gayi.+ mere bade-bade adhikari aur rutbedar log mujhse milne ke liye betab hone lage. mera raaj mujhe lauta diya gaya aur mujhe pehale se zyada mahan kiya gaya. 37  ab main nabookadnessar swarg ke raja ki taareef aur badai karta hoon, uski mahima karta hoon+ kyonki uske sabhi kaam sachchai ke mutabik hain aur uski raahein nyay ke mutabik hain+ aur jo ghamand karte hain unhein woh neecha kar sakta hai.”+

kai footnote

yaani aise logon ka samooh jo jyotish-vidya aur nakshatra-vidya mein maahir the.
shaa., “raaj karnevala swarg hai.”
ya “uska haath koi nahin jaanch sakta.”