daaniyel 5:1-31

  • raja belshassar ki daavat (1-4)

  • deevar par haath ki likhai (5-12)

  • daaniyel ko iska matlab batane ke liye kaha gaya (13-25)

  • matlab: baibilon gir jaayega (26-31)

5  raja belshassar+ ne ek badi aur aaleeshan daavat rakhi aur apne hazar rutbedar logon ko nyauta diya. usne un sabke saamne daakh-madira pi.+  belshassar ne nashe mein dhutt hokar hukm diya ki uska pita nabookadnessar, yarooshalem ke mandir se sone-chaandi ke jo pyale aur katore utha laaya tha,+ woh ab uske saamne laaye jaayen taaki woh aur uske rutbedar log aur uski rakhailiyaan aur doosri patniyaan unmein se peeyen.  tab sone ke woh bartan laaye gaye jo yarooshalem mein parmeshvar ke bhavan ke mandir se uthakar laaye gaye the. raja, uske rutbedar log, uski rakhailiyaan aur doosri patniyaan, sab unmein se peene lage.  woh daakh-madira peekar un devtaon ki badai karne lage jo sone-chaandi, tambe, lohe, lakdi aur patthar ke bane the.  tab achanak ek aadmi ka haath dikhayi diya aur deevat ke paas raajmahal ki deevar ke palastar par kuch likhne laga. raja ne us haath ko deevar par likhte huye dekha.  raja ka chehra peela pad gaya* aur woh kuch sochkar ghabrane laga. uski kamar ke jod hilne lage+ aur ghutne aapas mein takrane lage.  raja ne zor se chillakar kaha ki taantrikon, kasdiyon* aur jyotishiyon ko bulaya jaaye.+ raja ne baibilon ke gyaaniyon se kaha, “jo koi yah likhavat padhkar mujhe iska matlab batayega use bainjni kapda pehnaya jaayega, uske gale mein sone ka haar daala jaayega+ aur use is raajya ka teesra sabse bada shaasak banaya jaayega.”+  tab raja ke sabhi gyaani aaye, magar woh na to likhavat padh sake, na hi uska matlab raja ko bata sake.+  isliye raja belshassar bahot ghabra gaya aur uska chehra peela pad gaya. uske rutbedar log bhi uljhan mein pad gaye.+ 10  raja aur uske rutbedar logon ki baatein sunkar raani daavat-khaane mein aayi. raani ne kaha, “hey raja, tu yug-yug jeeye. tera chehra kyon peela pad gaya? tujhe khauf khaane ki zaroorat nahin. 11  tere raajya mein ek aadmi* hai jismein pavitra ishvaron ki shakti hai. tere pita ke dinon mein us aadmi mein ishvaron jaisa gyaan, androoni samajh aur buddhi paayi gayi thi.+ tere pita raja nabookadnessar ne use jaadoo-tona karnevale pujariyon, taantrikon, kasdiyon* aur jyotishiyon ka pradhan thehraya tha.+ hey raja, tere pita ne vaakai aisa kiya tha. 12  daaniyel, jiska naam raja ne beltashassar rakha tha,+ bahot kaabil tha, usmein gyaan aur androoni samajh thi, isliye woh sapnon ka matlab bata sakta tha, paheliyaan bujha sakta tha aur koi bhi gutthi suljha sakta tha.+ isliye daaniyel ko bula, woh tujhe is likhavat ka matlab batayega.” 13  tab daaniyel ko raja ke saamne laaya gaya. raja ne daaniyel se poochha, “kya tu daaniyel hai? kya tu un logon mein se hai jinhein mera pita yaani raja yahooda se bandi banakar laaya tha?+ 14  mainne suna hai ki tujhmein ishvaron ki shakti hai+ aur tere paas kamaal ki buddhi, gyaan aur androoni samajh hai.+ 15  mere saamne gyaaniyon aur taantrikon ko laaya gaya taaki woh yah likhavat padhkar iska matlab mujhe batayen, magar woh nahin bata paa rahe hain.+ 16  lekin mainne suna hai ki tere paas rehasya kholne aur gutthi suljhane ki kaabilyat hai.+ isliye agar tu yah likhavat padhkar iska matlab mujhe bataye to tujhe bainjni kapda pehnaya jaayega, tere gale mein sone ka haar daala jaayega aur tujhe is raajya ka teesra sabse bada shaasak banaya jaayega.”+ 17  daaniyel ne raja se kaha, “mujhe tere tohfe nahin chahiye, tu chahe to ye sab kisi aur ko de de. fir bhi, main raja ko yah likhavat padhkar sunaunga aur iska matlab bataunga. 18  hey raja, param-pradhan parmeshvar ne tere pita nabookadnessar ko raaj, mahanta, samman aur pratap diya tha.+ 19  parmeshvar ki badaulat use jo mahanta haasil hui thi, us vajah se sabhi raashtron aur bhaashaon ke log uske saamne thar-thar kaanpte the.+ woh jise chahe maar daalta aur jise chahe zinda chhod deta tha, jise chahe samman deta aur jise chahe neecha karta tha.+ 20  magar jab uska man ghamand se fool gaya aur woh dheeth ho gaya aur gustakhi karne laga,+ to use raajgaddi se neeche utara gaya aur uski garima usse chheen li gayi. 21  use insanon ke beech se khaded diya gaya, uska man jaanvar ke man jaisa ho gaya aur woh jangli gadhon ke saath rehne laga. woh bailon ki tarah ghaas-patte khaata aur uska shareer aakash ki os se bheega karta tha. aisa tab tak hota raha jab tak ki usne nahin jaan liya ki insani raajyon par param-pradhan parmeshvar ka raaj hai aur woh jise chahe use raaj karne ke liye thehrata hai.+ 22  magar hey belshassar, tu jo uska beta hai, toone yah sab jaante huye bhi apne man ko namra nahin kiya. 23  iske bajay toone swarg ke maalik, parmeshvar ke khilaf jaakaar khud ko uncha uthaya+ aur toone uske bhavan ke bartan mangaye.+ fir tu aur tere rutbedar log, teri rakhailiyaan aur doosri patniyaan, sab unmein se peene lage aur tum sabne un devtaon ki badai ki jo sone-chaandi, tambe, lohe, lakdi aur patthar ke bane hain, jo na kuch dekh-sun sakte hain aur na hi kuch jaante hain.+ magar toone us parmeshvar ki mahima nahin ki jiski badaulat tu saans le raha hai aur jiske haath mein teri zindagi hai.+ 24  isliye parmeshvar ne is haath ko bheja aur ye shabd likhe gaye.+ 25  yahaan likhe gaye shabd hain: mane, mane, takel aur parseen. 26  in shabdon ka matlab yah hai: mane, yaani parmeshvar ne tere raaj ke din gine hain aur uska ant kar diya hai.+ 27  takel, yaani tujhe tarazoo mein taula gaya aur tu halka paaya gaya hai. 28  pares, yaani tera raajya baant diya gaya hai aur maadiyon aur faarsiyon ko de diya gaya hai.”+ 29  fir belshassar ke hukm par daaniyel ko bainjni kapda pehnaya gaya, uske gale mein sone ka haar daala gaya aur yah ailan kiya gaya ki woh is raajya ka teesra sabse bada shaasak hoga.+ 30  usi raat kasdi raja belshassar maar daala gaya.+ 31  aur uska raajya maadi daara+ ko mil gaya. daara kareeb 62 saal ka tha.

kai footnote

ya “raja ka roop badal gaya.”
yaani aise logon ka samooh jo jyotish-vidya aur nakshatra-vidya mein maahir the.
ya “ek kaabil aadmi.”
yaani aise logon ka samooh jo jyotish-vidya aur nakshatra-vidya mein maahir the.