daaniyel 6:1-28

  • daaniyel ke khilaf saazish (1-9)

  • usne prarthna karna nahin chhoda (10-15)

  • use sheron ki maand mein feinka gaya (16-24)

  • raja daara ne uske parmeshvar ka aadar kiya (25-28)

6  daara ko apne poore raajya par 120 soobedaron ko thehrana sahi laga.+  aur un soobedaron par teen bade-bade adhikari thehraye gaye jinmein se ek daaniyel tha.+ soobedar+ in adhikariyon ko saari baaton ki khabar dete the taaki raja ko koi nuksan na ho.  daaniyel bahot hi kaabil tha isliye woh doosre bade-bade adhikariyon aur soobedaron mein sabse khaas nazar aane laga.+ raja ne faisla kiya ki woh use aur bhi uncha pad dekar poore raajya par adhikar saunpega.  us samay bade-bade adhikari aur soobedar raaj-kaaj ke maamle mein daaniyel mein dosh dhoondhne lage taaki us par koi ilzam laga sakein. magar unhein usmein koi dosh nahin mila, na hi uske khilaf bhrashtachar ka koi saboot mila kyonki woh ek bharosemand insan tha, apne kaam mein laaparvah nahin tha aur beimani nahin karta tha.  woh aadmi kehne lage, “hamein is daaniyel mein koi dosh nahin milega jisse hum us par ilzam laga sakein. hamein uski shikayat ke liye koi aisi baat dhoondhni hogi jo uske parmeshvar ke niyamon se sambandh rakhti ho.”+  isliye woh bade-bade adhikari aur soobedar toli banakar raja ke saamne gaye aur kehne lage, “hey raja daara, tu yug-yug jeeye.  raajya ke sabhi bade-bade adhikariyon, prashasakon, soobedaron, unche ohde ke adhikariyon aur raajyapalon ne aapas mein mashvira karke tay kiya hai ki logon par paabandi lagane ka ek shaahi farman jaari kiya jaaye ki agar 30 din tak koi bhi raja ko chhod kisi aur devta ya insan se binti kare to use sheron ki maand mein feink diya jaayega.+  isliye hey raja, tu yah farman jaari kar de aur is par dastakhat kar de+ taaki maadiyon aur faarsiyon ke kaanoon ke mutabik yah badla na jaaye aur na hi radd kiya jaaye.”+  isliye raja daara ne paabandi ke us farman par dastakhat kar diye. 10  magar jaise hi daaniyel ko pata chala ki us farman par raja ne dastakhat kar diye hain, woh apne ghar gaya jiske oopri kamre ki khidkiyaan yarooshalem ki taraf khulti thi.+ aur pehale ki tarah woh har din teen baar ghutne tekkar apne parmeshvar se prarthna karta raha aur uski taareef karta raha. 11  tabhi woh aadmi dhaddhadate huye andar ghus aaye aur unhonne dekha ki daaniyel apne parmeshvar se binti kar raha hai aur usse kripa ke liye minnatein kar raha hai. 12  tab woh raja ke paas gaye aur unhonne use paabandi ke baare mein yaad dilate huye kaha, “hey raja, kya toone ek farman par dastakhat nahin kiye the ki 30 din tak agar koi raja ko chhod kisi aur devta ya insan se binti karega, to use sheron ki maand mein feink diya jaayega?” raja ne kaha, “beshak kiya tha aur maadiyon aur faarsiyon ke atal kaanoon ke mutabik yah farman radd nahin kiya jaa sakta.”+ 13  unhonne fauran raja se kaha, “hey raja, woh daaniyel, jo yahooda se laaye gaye bandiyon mein se hai,+ usne teri bilkul kadar nahin ki, na hi us farman ki koi parvah ki jis par toone dastakhat kiye the. woh din mein teen baar prarthna karta hai.”+ 14  jaise hi raja ne yah baat suni use bahot dukh hua aur woh daaniyel ko bachane ki tarkeeb sochne laga. sooraj dhalne tak usne daaniyel ko bachane ki har mumkin koshish ki. 15  aakhirkar, woh aadmi toli banakar raja ke paas aaye aur kehne lage, “hey raja, mat bhool ki yah maadiyon aur faarsiyon ka kaanoon hai ki raja jo farman jaari karta hai ya paabandi lagata hai, use badla nahin jaa sakta.”+ 16  tab raja ne hukm diya aur unhonne daaniyel ko le jaakaar sheron ki maand mein feink diya.+ raja ne daaniyel se kaha, “tera parmeshvar, jiski tu bina naaga seva karta hai, tujhe zaroor chhudayega.” 17  fir ek patthar laaya gaya aur use maand ke muhane par rakha gaya. raja ne apni muharvali angoothi aur apne adhikariyon ki muharvali angoothi se us par muhar laga di taaki daaniyel ke baare mein kiya gaya faisla badla na jaa sake. 18  fir raja apne mahal chala gaya. usne poori raat kuch nahin khaaya aur man-bahlav karne se inkar kar diya* aur woh raat-bhar so nahin saka.* 19  subah sooraj ki pehali kiran padte hi raja utha aur jaldi se sheron ki maand ke paas gaya. 20  maand ke paas jaate hi raja ne dukh-bhari aavaz mein daaniyel ko pukara, “hey daaniyel, jeevit parmeshvar ke sevak, kya tere parmeshvar ne, jiski tu bina naaga seva karta hai, tujhe sheron se bacha liya hai?” 21  daaniyel ne fauran raja se kaha, “hey raja, tu yug-yug jeeye. 22  mere parmeshvar ne apne swargdoot ko bhejkar sheron ka munh band kar diya+ aur unhonne mujhe kuch nahin kiya.+ aisa isliye hua kyonki main parmeshvar ke saamne begunah hoon aur hey raja, mainne tera bhi kuch bura nahin kiya.” 23  raja khushi se foola nahin samaya aur usne aagya di ki daaniyel ko maand mein se oopar nikaala jaaye. tab daaniyel ko maand mein se oopar nikaala gaya. uske shareer par ek kharonch tak nahin thi kyonki usne apne parmeshvar par bharosa rakha tha.+ 24  fir raja ke hukm par un aadmiyon ko laaya gaya jinhonne daaniyel par ilzam lagaya tha.* aur unhein unke beevi-bachchon ke saath sheron ki maand mein feink diya gaya. woh maand ki tah tak pahunche bhi na the ki sher un par jhapat pade aur unki haddiyaan tod daalin.+ 25  fir raja daara ne saari dharti par rehnevale sab raashtron aur bhaashaon ke logon+ ko yah sandesh likhkar bheja: “tumhara sukh-chain badhta rahe! 26  main ek farman jaari kar raha hoon ki mere raajya ke har ilake mein rehnevale log daaniyel ke parmeshvar ka dar maanein aur uska aadar karein,+ kyonki vahi jeevit parmeshvar hai aur yug-yug tak bana rehta hai. uska raaj kabhi naash nahin kiya jaayega aur uska raaj karne ka adhikar sada bana rahega.+ 27  woh apne logon ko chhudata aur bachata hai+ aur aakash aur dharti par chinh aur ajoobe dikhata hai.+ iseeliye usne daaniyel ko sheron ke panjon se bacha liya hai.” 28  is tarah daaniyel daara ke raaj mein aur faarsi raja kusroo ke raaj mein bhi kaamyab hua.+

kai footnote

ya shaayad, “uske paas koi sangeetkar nahin laaya gaya.”
shaa., “uski nind uske paas se bhaag gayi.”
ya “ko badnam kiya tha.”