daaniyel 7:1-28
7 baibilon ke raja belshassar+ ke raaj ke pehale saal, daaniyel ne bistar par lete ek sapna aur kuch darshan dekhe.+ fir usne likha ki usne kya sapna dekha tha.+ usne jo-jo dekha, uska poora byaura likha.
2 daaniyel ne kaha,
“mainne raat ko darshan mein yah dekha: aakash ke chaaron taraf se aandhi chalne lagi, jo vishal samundar mein halchal machane lagi!+
3 samundar mein se chaar bade-bade jaanvar+ nikle, jo ek-doosre se alag the.
4 pehala jaanvar sher jaisa tha+ aur uske ukab jaise pankh the.+ main use dekh hi raha tha ki uske pankh noch diye gaye aur use zameen se oopar uthaya gaya aur ek aadmi ki tarah do pairon par khada kiya gaya aur use ek insan ka dil diya gaya.
5 fir mainne doosra jaanvar dekha, jo reechh jaisa tha!+ uska shareer ek taraf se utha hua tha aur uske munh mein daanton ke beech teen pasliyaan thi. usse kaha gaya, ‘uth, khoob maans khaa.’+
6 mainne darshan mein aage dekha ki ek aur jaanvar nikala jo cheete jaisa tha!+ magar uski peeth par pakshiyon jaise chaar pankh the. us jaanvar ke chaar sir the+ aur use raaj karne ka adhikar diya gaya.
7 fir mainne darshan mein chautha jaanvar dekha, jo bada hi khoonkhar aur daravna tha. woh bahot taakatvar tha aur uske bade-bade lohe ke daant the. woh sabkuch khaa jaata aur choor-choor kar deta aur jo kuch bach jaata use pairon se raund daalta.+ woh usse pehale ke sabhi jaanvaron se alag tha aur uske das sing the.
8 main un singon par gaur kar hi raha tha ki unke beech se ek chhota sing nikaal aaya!+ fir us chhote sing ke saamne pehalevale singon mein se teen ukhaad diye gaye. fir mainne dekha ki us chhote sing mein insan jaisi aankhein thi aur ek munh bhi tha jo badi-badi dingein maarta tha!+
9 main darshan dekh hi raha tha ki raajgaddiyaan rakhi gayin aur ‘ati pracheen’+ apni raajgaddi par virajman hua.+ uski poshak barf jaisi ujli thi+ aur uske sir ke baal oon jaise safed the. uski raajgaddi aag ki jvala thi aur raajgaddi ke pahiye dhadhakti aag the.+
10 uske saamne se aag ki dhaara bah rahi thi.+ hazaron-hazar swargdoot uski seva kar rahe the, laakhon-laakh uske saamne khade the.+ fir adalat+ ki kaarravai shuroo hui aur kitabein kholi gayin.
11 main dekhta raha kyonki woh sing badi-badi dingein haank raha tha.+ main dekh hi raha tha ki woh jaanvar maar daala gaya aur uski laash aag mein daalkar bhasm kar di gayi.
12 magar jahaan tak baaki jaanvaron ki baat hai,+ unka raaj karne ka adhikar chheen liya gaya aur unhein kuch samay aur jeene diya gaya.
13 mainne raat ke darshanon mein aage dekha ki insan ke bete+ jaisa koi aakash ke baadlon ke saath aa raha hai! use ‘ati pracheen’+ ke paas jaane ki ijazat di gayi aur woh use uske saamne le gaye.
14 use raaj karne ka adhikar,+ samman+ aur ek raaj diya gaya taaki sab raashtron aur bhaashaon ke log uski seva karein.+ uska raaj karne ka adhikar sada bana rahega, woh kabhi nahin mitega aur uska raaj kabhi naash nahin hoga.+
15 main daaniyel man-hi-man bahot pareshan ho utha, kyonki main un darshanon se bahot dar gaya tha.+
16 vahaan jo khade the, unmein se ek ke paas main gaya taaki usse poochhoon ki un darshanon ka asal matlab kya hai. tab usne mujhe javab diya aur bataya ki un baaton ka matlab kya hai.
17 ‘ye chaar bade-bade jaanvar+ chaar raja hain jo dharti se utheinge.+
18 magar raaj sabse mahan parmeshvar ke pavitra janon+ ko diya jaayega+ aur is raaj par unka sada ke liye adhikar hoga,+ haan, yug-yug tak unhin ka adhikar hoga.’
19 fir mainne chauthe jaanvar ke baare mein zyada jaanna chaha, jo baaki jaanvaron se bilkul alag tha. woh bahot hi bhayanak tha aur uske lohe ke daant aur tambe ke panje the. woh sabkuch khaa jaata aur choor-choor kar deta tha aur jo kuch bach jaata use pairon se raund daalta tha.+
20 mainne uske sir ke das singon+ ke baare mein bhi jaanna chaha aur us doosre sing ke baare mein bhi, jo baad mein nikaal aaya tha aur jiske saamne teen sing ukhaadkar gir gaye the.+ us sing ki aankhein thi aur ek munh bhi tha jisse woh badi-badi dingein maarta tha. woh sing baaki singon se bahot bada tha.
21 mainne aage dekha ki woh sing pavitra janon se yuddh karne laga aur tab tak un par apna zor aazmata raha+
22 jab tak ki ‘ati pracheen’+ na aaya aur sabse mahan parmeshvar ke pavitra janon ke paksh mein faisla na sunaya gaya.+ aur tab woh tay samay aa gaya ki pavitra jan raaj par adhikar karein.+
23 jo mujhe darshan samjha raha tha usne mujhse kaha, ‘chautha jaanvar, chauthe raaj ko darshata hai jo dharti par aayega. woh baaki sabhi raajyon se alag hoga, woh poori dharti ko khaa jaayega, use pairon tale raund daalega aur choor-choor kar dega.+
24 das sing das raajaon ko darshate hain jo usi raaj mein se nikleinge aur unke baad ek aur raja aayega jo pehale ke raajaon se alag hoga aur teen raajaon ko neecha dikhayega.+
25 woh param-pradhan parmeshvar ke khilaf baatein karega+ aur sabse mahan parmeshvar ke pavitra janon ko satata rahega. woh samay aur kaanoon ko badalne ki koshish karega aur pavitra janon ko uske haath mein ek kaal, do kaal aur aadhe kaal* ke liye de diya jaayega.+
26 magar fir adalat ki kaarravai shuroo hui aur unhonne uska raaj karne ka adhikar chheen liya taaki use mita dein aur poori tarah naash kar dein.+
27 aur aakash ke neeche ke saare raajya aur raaj karne ka adhikar aur unka vaibhav sabse mahan parmeshvar ke pavitra janon ko de diya gaya.+ unka raaj sada tak kaayam rehnevala raaj hai+ aur saare raajya unki seva kareinge aur unki aagya maaneinge.’
28 mere darshan ka byaura yahin khatm hota hai. main daaniyel, darshan ki baatein sochkar bahot ghabra gaya, mera chehra peela pad gaya,* magar mainne yah baat apne dil mein hi rakhi.”